zabt-e-nazar ke nam faqat mat aai hai
zabt-e-nazar ke naam faqat maat aa.ī hai
āñkhoñ ke imtihān kī jab raat aa.ī hai
itnī hasīn apne muqaddar meñ kyuuñ nahīñ
bilkul vahī jo dil meñ tire baat aa.ī hai
paanī bhī us ke paaoñ ko chhū kar hai pur-sukūñ
dariyā ke paas husn kī sauġhāt aa.ī hai
dānista aaj phir vo usī raah aa gayā
jaise use bhī yād-e-mulāqāt aa.ī hai
jab sāmne vo aayā anā jaane kyā huī
maġhrūr dil ke sāmne auqāt aa.ī hai
us ne shikast dī bhī to aise vaqār se
jaise mire nasīb meñ sauġhāt aa.ī hai
zabt-e-nazar ke nam faqat mat aai hai
aankhon ke imtihan ki jab raat aai hai
itni hasin apne muqaddar mein kyun nahin
bilkul wahi jo dil mein tere baat aai hai
pani bhi us ke paon ko chhu kar hai pur-sukun
dariya ke pas husn ki saughat aai hai
danista aaj phir wo usi rah aa gaya
jaise use bhi yaad-e-mulaqat aai hai
jab samne wo aaya ana jaane kya hui
maghrur dil ke samne auqat aai hai
us ne shikast di bhi to aise waqar se
jaise mere nasib mein saughat aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.