ye kaisi mehrbani ho rahi hai
ye kaisī mehrbānī ho rahī hai
sharāfat paanī paanī ho rahī hai
na.e kirdār haiñ lekin abhī tak
qalā-bāzī purānī ho rahī hai
chaman meñ phuul masle jā rahe haiñ
'ajab sī bāġhbānī ho rahī hai
na masjid hai na mai-ḳhāna salāmat
ye kaisī hukmrānī ho rahī hai
haram ke tājiroñ se aaj kal bas
butoñ kī pāsbānī ho rahī hai
yahāñ kī dars-gāh-e-makr-o-fan meñ
hamārī rā.egānī ho rahī hai
sar-e-mahfil sitam kī intihā bhī
taġhāful kī zabānī ho rahī hai
miyāñ buniyād ke patthar haiñ ham log
hamīñ se bad-gumānī ho rahī hai
zamāna jāntā hai kis ke dam se
jahāñ meñ zau-fishānī ho rahī hai
kabhī aayā thā vo bazm-e-tarab meñ
abhī tak gulfishānī ho rahī hai
ġhazal ke ḳhush-numā lahje meñ 'akram'
hamārī haq-bayānī ho rahī hai
ye kaisi mehrbani ho rahi hai
sharafat pani pani ho rahi hai
nae kirdar hain lekin abhi tak
qala-bazi purani ho rahi hai
chaman mein phul masle ja rahe hain
'ajab si baghbani ho rahi hai
na masjid hai na mai-KHana salamat
ye kaisi hukmrani ho rahi hai
haram ke tajiron se aaj kal bas
buton ki pasbani ho rahi hai
yahan ki dars-gah-e-makr-o-fan mein
hamari raegani ho rahi hai
sar-e-mahfil sitam ki intiha bhi
taghaful ki zabani ho rahi hai
miyan buniyaad ke patthar hain hum log
hamin se bad-gumani ho rahi hai
zamana jaanta hai kis ke dam se
jahan mein zau-fishani ho rahi hai
kabhi aaya tha wo bazm-e-tarab mein
abhi tak gulfishani ho rahi hai
ghazal ke KHush-numa lahje mein 'akram'
hamari haq-bayani ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.