Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saz-e-furqat pe ghazal gao ki kuchh raat kaTe

Raees Akhtar

saz-e-furqat pe ghazal gao ki kuchh raat kaTe

Raees Akhtar

sāz-e-furqat pe ġhazal gaao ki kuchh raat kaTe

pyaar rasm ko chamkāo ki kuchh raat kaTe

jab ye tai hai ki ġham-e-ishq bahut kaafī hai

ġham mafhūm samjhāo ki kuchh raat kaTe

sub.h ke saath ham ḳhud bhī bikhar jā.eñge

do-ghaḌī aur Thahar jaao ki kuchh raat kaTe

dāman-e-dard pe bikhre hue aañsū tarah

merī palkoñ pe bhī lahrāo ki kuchh raat kaTe

zikr-e-gulzār sahī qissa-e-dil-dār sahī

zaḳhm ke phuul mahkāo ki kuchh raat kaTe

ek ek dard ke siine meñ utar kar dekho

ek ek saañs meñ lahrāo ki kuchh raat kaTe

dil vaadī meñ hai tārīk ghaTāoñ hujūm

chāñdnī ban ke nikhar jaao ki kuchh raat kaTe

qātil-e-shahr se bach kar maiñ abhī aayā huuñ

maiñ akelā huuñ chale aao ki kuchh raat kaTe

farsh kirnoñ bichhā degī sahar aa ke 'ra.īs'

dil ke zaḳhmoñ ko bhī chamkāo ki kuchh raat kaTe

saz-e-furqat pe ghazal gao ki kuchh raat kaTe

pyar ki rasm ko chamkao ki kuchh raat kaTe

jab ye tai hai ki gham-e-ishq bahut kafi hai

gham ka mafhum hi samjhao ki kuchh raat kaTe

subh ke sath hi hum KHud bhi bikhar jaenge

do-ghaDi aur Thahar jao ki kuchh raat kaTe

daman-e-dard pe bikhre hue aansu ki tarah

meri palkon pe bhi lahrao ki kuchh raat kaTe

zikr-e-gulzar sahi qissa-e-dil-dar sahi

zaKHm ke phul hi mahkao ki kuchh raat kaTe

ek ek dard ke sine mein utar kar dekho

ek ek sans mein lahrao ki kuchh raat kaTe

dil ki wadi mein hai tarik ghaTaon ka hujum

chandni ban ke nikhar jao ki kuchh raat kaTe

qatil-e-shahr se bach kar main abhi aaya hun

main akela hun chale aao ki kuchh raat kaTe

farsh kirnon ka bichha degi sahar aa ke 'rais'

dil ke zaKHmon ko bhi chamkao ki kuchh raat kaTe

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now