Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaliyon ka tabassum ho, ki tum ho ki saba ho

Hari Chand Akhtar

kaliyon ka tabassum ho, ki tum ho ki saba ho

Hari Chand Akhtar

kaliyoñ tabassum ho, ki tum ho ki sabā ho

is raat ke sannāTe meñ, koī to sadā ho

yuuñ jism mahaktā hai havā-e-gul-e-tar se!

jaise koī pahlū se abhī uTh ke gayā ho

duniyā hama-tan-gosh hai, āhista se bolo

kuchh aur qarīb aao, koī sun na rahā ho

ye rañg, ye andāz-e-navāzish to vahī hai

shāyad ki kahīñ pahle bhī mujh se milā ho

yuuñ raat ko hotā hai gumāñ dil sadā par

jaise koī dīvār se sar phoḌ rahā ho

duniyā ko ḳhabar kyā hai mire zauq-e-nazar

tum mere liye rañg ho, ḳhushbū ho, ziyā ho

yuuñ terī nigāhoñ meñ asar DhūñD rahā huuñ

jaise ki tujhe dil ke dhaḌakne patā ho

is darja mohabbat meñ taġhāful nahīñ achchhā

ham bhī jo kabhī tum se gurezāñ hoñ to kyā ho

ham ḳhaak ke zarroñ meñ haiñ 'aḳhtar' bhii, guhar bhī

tum bām-e-falak se, kabhī utro to patā ho

kaliyon ka tabassum ho, ki tum ho ki saba ho

is raat ke sannaTe mein, koi to sada ho

yun jism mahakta hai hawa-e-gul-e-tar se!

jaise koi pahlu se abhi uTh ke gaya ho

duniya hama-tan-gosh hai, aahista se bolo

kuchh aur qarib aao, koi sun na raha ho

ye rang, ye andaz-e-nawazish to wahi hai

shayad ki kahin pahle bhi tu mujh se mila ho

yun raat ko hota hai guman dil ki sada par

jaise koi diwar se sar phoD raha ho

duniya ko KHabar kya hai mere zauq-e-nazar ki

tum mere liye rang ho, KHushbu ho, ziya ho

yun teri nigahon mein asar DhunD raha hun

jaise ki tujhe dil ke dhaDakne ka pata ho

is darja mohabbat mein taghaful nahin achchha

hum bhi jo kabhi tum se gurezan hon to kya ho

hum KHak ke zarron mein hain 'aKHtar' bhi, guhar bhi

tum baam-e-falak se, kabhi utro to pata ho

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Fahad Husain

HARICHAND AKHTAR - KALIYON KA TABBASUM HO Fahad Husain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now