husn ko chand jawani ko kanwal kahte hain
husn ko chāñd javānī ko kañval kahte haiñ
un kī sūrat nazar aa.e to ġhazal kahte haiñ
uf vo marmar se tarāshā huā shaffāf badan
dekhne vaale use tāj-mahal kahte haiñ
vo tire husn kī qīmat se nahīñ haiñ vāqif
pañkhuḌī ko jo tire lab kā badal kahte haiñ
paḌ ga.ī paañv meñ taqdīr kī zanjīr to kyā
ham to us ko bhī tirī zulf kā bal kahte haiñ
husn ko chand jawani ko kanwal kahte hain
un ki surat nazar aae to ghazal kahte hain
uf wo marmar se tarasha hua shaffaf badan
dekhne wale use taj-mahal kahte hain
wo tere husn ki qimat se nahin hain waqif
pankhuDi ko jo tere lab ka badal kahte hain
paD gai panw mein taqdir ki zanjir to kya
hum to us ko bhi teri zulf ka bal kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.