Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shaKHs jawan KHak-basar yaad to hoga

Nihal Sevharvi

ek shaKHs jawan KHak-basar yaad to hoga

Nihal Sevharvi

MORE BYNihal Sevharvi

    ik shaḳhs javāñ ḳhāk-basar yaad to hogā

    vo apnī nigāhoñ asar yaad to hogā

    vo dhuum zamāne meñ mire josh-e-junūñ

    vo ġhalġhala-e-shām-o-sahar yaad to hogā

    bhūle to na hoge vo tajallī hikāyat

    vo tazkira-e-dāġh-e-jigar yaad to hogā

    har gaam pe vo husn pur-hosh nigāheñ

    vo ishq bad-mast safar yaad to hogā

    har lamha vo duniyā-e-mohabbat meñ taġhayyur

    har saañs meñ vo rañg-e-digar yaad to hogā

    vo dil ko tire husn-e-ḳhud-ārā se ta.alluq

    vo ḳhaak se paimān-e-nazar yaad to hogā

    vo kārgah-e-dahr se ik be-ḳhabarī

    vo ta.ana-e-har-ahl-e-ḳhabar yaad to hogā

    vo diid ki thā rū-kash-e-ārā.ish-e-gītī

    pahroñ taraf-e-rāh-guzar yaad to hogā

    vo ishq ke jazbāt bharpūr talātum

    tūfān maujoñ meñ guzar yaad to hogā

    gum-karda sukūñ ke mujhe apnī galī meñ

    kahnā vo tajāhul se kidhar yaad to hogā

    bholī to na hogī mirī ulfat haqīqat

    muddat fasāna hai magar yaad to hogā

    ek shaKHs jawan KHak-basar yaad to hoga

    wo apni nigahon ka asar yaad to hoga

    wo dhum zamane mein mere josh-e-junun ki

    wo ghalghala-e-sham-o-sahar yaad to hoga

    bhule to na hoge wo tajalli ki hikayat

    wo tazkira-e-dagh-e-jigar yaad to hoga

    har gam pe wo husn ki pur-hosh nigahen

    wo ishq ka bad-mast safar yaad to hoga

    har lamha wo duniya-e-mohabbat mein taghayyur

    har sans mein wo rang-e-digar yaad to hoga

    wo dil ko tere husn-e-KHud-ara se talluq

    wo KHak se paiman-e-nazar yaad to hoga

    wo kargah-e-dahr se ek be-KHabari si

    wo tana-e-har-ahl-e-KHabar yaad to hoga

    wo did ki tha ru-kash-e-araish-e-giti

    pahron taraf-e-rah-guzar yaad to hoga

    wo ishq ke jazbaat ka bharpur talatum

    tufan ki maujon mein guzar yaad to hoga

    gum-karda sukun pa ke mujhe apni gali mein

    kahna wo tajahul se kidhar yaad to hoga

    bholi to na hogi meri ulfat ki haqiqat

    muddat ka fasana hai magar yaad to hoga

    Source :
    • Book : Nuquush Lahore (Pg. 223)
    • Author : Mohd Tufail
    • Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
    • Edition : Feb.1956

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now