Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agarche main ek chaTan sa aadmi raha hun

Mohsin Naqvi

agarche main ek chaTan sa aadmi raha hun

Mohsin Naqvi

agarche maiñ ik chaTān aadmī rahā huuñ

magar tire ba.ad hausla hai ki rahā huuñ

vo reza reza mire badan meñ utar rahā hai

maiñ qatra qatra usī āñkhoñ ko rahā huuñ

tirī hathelī pe kis ne likkhā hai qatl merā

mujhe to lagtā hai maiñ tirā dost bhī rahā huuñ

khulī haiñ āñkheñ magar badan hai tamām patthar

koī batā.e maiñ mar chukā huuñ ki rahā huuñ

kahāñ milegī misāl merī sitamgarī

ki maiñ gulāboñ ke zaḳhm kāñToñ se rahā huuñ

na pūchh mujh se ki shahr vāloñ haal kyā thā

ki maiñ to ḳhud apne ghar meñ bhī do ghaḌī rahā huuñ

milā to biite dinoñ sach us aañkh meñ thā

vo āshnā jis se muddatoñ ajnabī rahā huuñ

bhulā de mujh ko ki bevafā.ī bajā hai lekin

gañvā na mujh ko ki maiñ tirī zindagī rahā huuñ

vo ajnabī ban ke ab mile bhī to kyā hai 'mohsin'

ye naaz kam hai ki maiñ bhī us kabhī rahā huuñ

agarche main ek chaTan sa aadmi raha hun

magar tere baad hausla hai ki ji raha hun

wo reza reza mere badan mein utar raha hai

main qatra qatra usi ki aankhon ko pi raha hun

teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera

mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hun

khuli hain aankhen magar badan hai tamam patthar

koi batae main mar chuka hun ki ji raha hun

kahan milegi misal meri sitamgari ki

ki main gulabon ke zaKHm kanTon se si raha hun

na puchh mujh se ki shahr walon ka haal kya tha

ki main to KHud apne ghar mein bhi do ghaDi raha hun

mila to bite dinon ka sach us ki aankh mein tha

wo aashna jis se muddaton ajnabi raha hun

bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin

ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hun

wo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin'

ye naz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hun

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

agarche main ek chaTan sa aadmi raha hun Nomaan Shauque

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now