Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai

Fani Badayuni

duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai

Fani Badayuni

duniyā merī balā jaane mahñgī hai sastī hai

maut mile to muft na luuñ hastī kyā hastī hai

ābādī bhī dekhī hai vīrāne bhī dekhe haiñ

jo ujḌe aur phir na base dil vo nirālī bastī hai

ḳhud jo na hone ho adam kyā use honā kahte haiñ

niist na ho to hast nahīñ ye hastī kyā hastī hai

ijz-e-gunāh ke dam tak haiñ ismat-e-kāmil ke jalve

pastī hai to bulandī hai rāz-e-bulandī pastī hai

jaan shai bik jaatī hai ek nazar ke badle meñ

aage marzī gāhak in dāmoñ to sastī hai

vahshat-e-dil se phirnā hai apne ḳhudā se phir jaanā

dīvāne ye hosh nahīñ ye to hosh-parastī hai

jag suunā hai tere baġhair āñkhoñ kyā haal huā

jab bhī duniyā bastī thī ab bhī duniyā bastī hai

aañsū the so ḳhushk hue hai ki umDā aatā hai

dil pe ghaTā chhā.ī hai khultī hai na barastī hai

dil ujaḌnā sahl sahī basnā sahl nahīñ zālim

bastī basnā khel nahīñ baste baste bastī hai

'fānī' jis meñ aañsū kyā dil ke lahū kaal na thā

haa.e vo aañkh ab paanī do būñdoñ ko tarastī hai

duniya meri bala jaane mahngi hai ya sasti hai

maut mile to muft na lun hasti ki kya hasti hai

aabaadi bhi dekhi hai virane bhi dekhe hain

jo ujDe aur phir na base dil wo nirali basti hai

KHud jo na hone ka ho adam kya use hona kahte hain

nist na ho to hast nahin ye hasti kya hasti hai

ijz-e-gunah ke dam tak hain ismat-e-kaamil ke jalwe

pasti hai to bulandi hai raaz-e-bulandi pasti hai

jaan si shai bik jati hai ek nazar ke badle mein

aage marzi gahak ki in damon to sasti hai

wahshat-e-dil se phirna hai apne KHuda se phir jaana

diwane ye hosh nahin ye to hosh-parasti hai

jag suna hai tere baghair aankhon ka kya haal hua

jab bhi duniya basti thi ab bhi duniya basti hai

aansu the so KHushk hue ji hai ki umDa aata hai

dil pe ghaTa si chhai hai khulti hai na barasti hai

dil ka ujaDna sahl sahi basna sahl nahin zalim

basti basna khel nahin baste baste basti hai

'fani' jis mein aansu kya dil ke lahu ka kal na tha

hae wo aankh ab pani ki do bundon ko tarasti hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now