Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mauzu-e-suKHan himmat-e-ali hi rahegi

Zeb Ghauri

mauzu-e-suKHan himmat-e-ali hi rahegi

Zeb Ghauri

mauzū-e-suḳhan himmat-e-ālī rahegī

jo tarz nikālūñgā misālī rahegī

ab mujh se ye duniyā mirā sar maañg rahī hai

kambaḳht mire aage savālī rahegī

vo nashsha-e-ġham ho ki ḳhumār-e-mai-e-pindār

dil vāloñ ke chehre pe bahālī rahegī

ab tak to kisī ġhair ehsāñ nahīñ mujh par

qātil bhī koī chāhne vaalī rahegī

maiñ laakh ise taaza rakhūñ dil ke lahū se

lekin tirī tasvīr ḳhayālī rahegī

is dil pe Thaharne nahīñ 'zeb' koī naqsh

ye aañkh kisī rang se ḳhālī rahegī

mauzu-e-suKHan himmat-e-ali hi rahegi

jo tarz nikalunga misali hi rahegi

ab mujh se ye duniya mera sar mang rahi hai

kambaKHt mere aage sawali hi rahegi

wo nashsha-e-gham ho ki KHumar-e-mai-e-pindar

dil walon ke chehre pe bahaali hi rahegi

ab tak to kisi ghair ka ehsan nahin mujh par

qatil bhi koi chahne wali hi rahegi

main lakh ise taza rakhun dil ke lahu se

lekin teri taswir KHayali hi rahegi

is dil pe Thaharne ka nahin 'zeb' koi naqsh

ye aankh kisi rang se KHali hi rahegi

Source :
  • Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 45)
  • Author :Zeb Ghauri
  • Publication : Rekhta Publications (2023)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now