Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jine ki KHwahishon mein kai bar mar gae

Murlidhar Sharma Talib

jine ki KHwahishon mein kai bar mar gae

Murlidhar Sharma Talib

jiine ḳhvāhishoñ meñ ka.ī baar mar ga.e

yuuñ apnī dāstān ke kirdār mar ga.e

kāñTe nikālne meñ guzrī hai zindagī

dil meñ liye hasrat-e-gulzār mar ga.e

ai zindagī ye terā karishma nahīñ to kyā

ham maut se pahle ka.ī baar mar ga.e

mausam ḳhizāñ thā magar haal ye na thā

kaisī bahār aa.ī ki ashjār mar ga.e

jis talāsh kījiye mil jaa.e kyā zarūr

jiine justujū meñ ka.ī yaar mar ga.e

sikke ke saath saath jo pagḌī uchhal paḌī

jitne bache the hāmil-e-dastār mar ga.e

'tālib' riyāz-e-fan na ruke varna dekh le

terī tarah se kitne fankār mar ga.e

jine ki KHwahishon mein kai bar mar gae

yun apni dastan ke kirdar mar gae

kanTe nikalne mein hi guzri hai zindagi

dil mein liye hi hasrat-e-gulzar mar gae

ai zindagi ye tera karishma nahin to kya

hum maut se hi pahle kai bar mar gae

mausam KHizan hi ka tha magar haal ye na tha

kaisi bahaar aai ki ashjar mar gae

jis ki talash kijiye mil jae kya zarur

jine ki justuju mein kai yar mar gae

sikke ke sath sath jo pagDi uchhal paDi

jitne bache the hamil-e-dastar mar gae

'talib' riyaz-e-fan na ruke warna dekh le

teri tarah se kitne hi fankar mar gae

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now