Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mauj-e-reg sarab-e-sahra kaise banti hai

Zeb Ghauri

mauj-e-reg sarab-e-sahra kaise banti hai

Zeb Ghauri

MORE BYZeb Ghauri

    mauj-e-reg sarāb-e-sahrā kaise bantī hai

    bahtā huā ā.īna-e-dariyā kaise bantī hai

    khil ke kalī chup kyuuñ rahtī hai shāḳh-e-zar-afshāñ par

    phir ye chahaktī koktī chiḌiyā kaise bantī hai

    bāhar ke manzar bhī hasīñ kyuuñ lagne lagte haiñ

    dil lahr ik kaif-e-sarāpā kaise bantī hai

    aañsū se kitnā gahrā hai miTTī rishta

    duniyā phir ġham se begāna kaise bantī hai

    uḌte hue pattoñ sadā ye shor havāoñ

    jangal ye fazā sannāTā kaise bantī hai

    maiñ to chaak pe kūza-gar ke haath miTTī huuñ

    ab ye miTTī dekh khilaunā kaise bantī hai

    bah gayā merā gharauñdā to ik rele meñ 'zeb'

    paanī par qaa.em ye duniyā kaise bantī hai

    mauj-e-reg sarab-e-sahra kaise banti hai

    bahta hua aaina-e-dariya kaise banti hai

    khil ke kali chup kyun rahti hai shaKH-e-zar-afshan par

    phir ye chahakti kokti chiDiya kaise banti hai

    bahar ke manzar bhi hasin kyun lagne lagte hain

    dil ki lahr ek kaif-e-sarapa kaise banti hai

    aansu se kitna gahra hai miTTi ka rishta

    duniya phir gham se begana kaise banti hai

    uDte hue patton ki sada ye shor hawaon ka

    jangal ki ye faza sannaTa kaise banti hai

    main to chaak pe kuza-gar ke hath ki miTTi hun

    ab ye miTTi dekh khilauna kaise banti hai

    bah gaya mera gharaunda to ek rele hi mein 'zeb'

    pani par qaem ye duniya kaise banti hai

    Source :
    • Book : zartaab (Pg. 200)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now