dil mujhse keh raha hai wo but ram ho gaya
dil mujh se keh rahā hai vo but raam ho gayā
ye kaam ho gayā to baḌā kaam ho gayā
ab kal kī kyā ḳhabar hai ki guzre qafas meñ kyā
honā thā jo vo aaj tah-e-dām ho gayā
saaqī kī chashm-e-mast ke qurbān jā.iye
jis par nazar paḌī vo mai-āshām ho gayā
maiñ jāntā huuñ ġhair ne rusvā kiyā tumheñ
ye tum kaho ki muft meñ bad-nām ho gayā
sayyād un guloñ ko samajhtā huuñ maiñ 'qamar'
jin ke sabab se baaġh ye gul-dām ho gayā
dil mujh se keh raha hai wo but ram ho gaya
ye kaam ho gaya to baDa kaam ho gaya
ab kal ki kya KHabar hai ki guzre qafas mein kya
hona tha jo wo aaj tah-e-dam ho gaya
saqi ki chashm-e-mast ke qurban jaiye
jis par nazar paDi wo mai-asham ho gaya
main jaanta hun ghair ne ruswa kiya tumhein
ye tum kaho ki muft mein bad-nam ho gaya
sayyaad un gulon ko samajhta hun main 'qamar'
jin ke sabab se bagh ye gul-dam ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.