Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hawaen jab ghanTiyan bajaen to lauT aana

Ishrat Afreen

hawaen jab ghanTiyan bajaen to lauT aana

Ishrat Afreen

havā.eñ jab ghanTiyāñ bajā.eñ to lauT aanā

kisī āñkheñ diye jalā.eñ to lauT aanā

bahut dinoñ tak ye mausam-e-gul nahīñ rahegā

jo shāḳh-e-jāñ par gulāb aa.eñ to lauT aanā

havā daraḳhtoñ se jab gale mil ke ro rahī ho

parind lambe safar pe jaa.eñ to lauT aanā

jo zid pe aa jaa.e dil to us bhī maan lenā

purānī yādeñ bahut satā.eñ to lauT aanā

firāq aag chaaT jaatī hai jism-o-jāñ ko

jo sun sako vaqt sadā.eñ to lauT aanā

hawaen jab ghanTiyan bajaen to lauT aana

kisi ki aankhen diye jalaen to lauT aana

bahut dinon tak ye mausam-e-gul nahin rahega

jo shaKH-e-jaan par gulab aaen to lauT aana

hawa daraKHton se jab gale mil ke ro rahi ho

parind lambe safar pe jaen to lauT aana

jo zid pe aa jae dil to us ki bhi man lena

purani yaaden bahut sataen to lauT aana

firaq ki aag chaT jati hai jism-o-jaan ko

jo sun sako waqt ki sadaen to lauT aana

Source :
  • Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 72)
  • Author : Ishrat Afreen
  • Publication : Rekhta Publications (2022)
  • Edition : 2nd

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now