Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marhala dil ka na tasKHir hua

Baqi Siddiqui

marhala dil ka na tasKHir hua

Baqi Siddiqui

marhala dil na tasḳhīr huā

kahāñ aa ke ināñ-gīr huā

kaam duniyā hai tīr-andāzī

ham hue koī naḳhchīr huā

sañg-e-buniyādī haiñ ham us ghar

jo kisī tarah na ta.amīr huā

safar-e-shauq hāsil ma.alūm

rāsta paañv zanjīr huā

umr-bhar jis shikāyat hai

dil usī aag se iksīr huā

kis se pūchheñ ki vo andāz-e-nazar

kab tabassum huā kab tiir huā

kaun ab dād-e-suḳhan de 'bāqī'

jis ne do sher kahe 'mīr' huā

marhala dil ka na tasKHir hua

tu kahan aa ke inan-gir hua

kaam duniya ka hai tir-andazi

hum hue ya koi naKHchir hua

sang-e-buniyaadi hain hum us ghar ka

jo kisi tarah na tamir hua

safar-e-shauq ka hasil malum

rasta panw ki zanjir hua

umr-bhar jis ki shikayat ki hai

dil usi aag se iksir hua

kis se puchhen ki wo andaz-e-nazar

kab tabassum hua kab tir hua

kaun ab dad-e-suKHan de 'baqi'

jis ne do sher kahe 'mir' hua

Source :
  • Book : Bar-e-Safar (Pg. 30)
  • Author : Baqi Siddiqui
  • Publication : Maktaba Urdu Daijest, Lahore (1969)
  • Edition : 1969
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now