Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main rona chahta hun KHub rona chahta hun main

Farhat Ehsas

main rona chahta hun KHub rona chahta hun main

Farhat Ehsas

maiñ ronā chāhtā huuñ ḳhuub ronā chāhtā huuñ maiñ

aur is ke ba.ad gahrī niiñd sonā chāhtā huuñ maiñ

tire hoñToñ ke sahrā meñ tirī āñkhoñ ke jañgal meñ

jo ab tak chukā huuñ us ko khonā chāhtā huuñ maiñ

ye kachchī miTTiyoñ Dher apne chaak par rakh le

tirī raftār ham-raqs honā chāhtā huuñ maiñ

tirā sāhil nazar aane se pahle is samundar meñ

havas ke sab safīnoñ ko Dubonā chāhtā huuñ maiñ

kabhī to fasl aa.egī jahāñ meñ mere hone

tirī ḳhāk-e-badan meñ ḳhud ko bonā chāhtā huuñ maiñ

mire saare badan par dūriyoñ ḳhaak bikhrī hai

tumhāre saath mil kar ḳhud ko dhonā chāhtā huuñ maiñ

main rona chahta hun KHub rona chahta hun main

aur is ke baad gahri nind sona chahta hun main

tere honTon ke sahra mein teri aankhon ke jangal mein

jo ab tak pa chuka hun us ko khona chahta hun main

ye kachchi miTTiyon ka Dher apne chaak par rakh le

teri raftar ka ham-raqs hona chahta hun main

tera sahil nazar aane se pahle is samundar mein

hawas ke sab safinon ko Dubona chahta hun main

kabhi to fasl aaegi jahan mein mere hone ki

teri KHak-e-badan mein KHud ko bona chahta hun main

mere sare badan par duriyon ki KHak bikhri hai

tumhaare sath mil kar KHud ko dhona chahta hun main

RECITATIONS

Farhat Ehsas

Farhat Ehsas,

00:00/00:00
Farhat Ehsas

main rona chahta hun KHub rona chahta hun main Farhat Ehsas

Source :
  • Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 99)
  • Author : Farhat Ehsas
  • Publication : Rekhta Publications (2019)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now