Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maine mana kaam hai nala dil-e-nashad ka

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

maine mana kaam hai nala dil-e-nashad ka

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

maiñ ne maanā kaam hai naala dil-e-nāshād

hai taġhāful sheva āḳhir kis sitam-ījād

haa.e vo dil jo hadaf thā nāvak-e-bedād

dard sahtā hai vahī ab ġhaflat-e-sayyād

nargis-e-mastāna meñ kaifiyat-e-jām-e-sharāb

qāmat-e-rānā pe aalam misra-e-ustād

māna-e-fariyād hai kuchh tab.a afsurdagī

kuchh sukūt-āmoz hai pās-e-adab sayyād

is qadar dilkash rahā terā agar andāz-e-jaur

zaḳhm-e-dil muñh chuum legā ḳhanjar-e-bedād

majlis-e-mātam banī aane se un ke bazm-e-aish

paḌ gayā phūloñ meñ mere ġhul mubārakbād

na kar tark-e-sitam zālim sitam ho jā.egā

jaan se jā.egā ḳhūgar lazzat-e-bedād

dard-e-nākām-e-hujūm-e-ārzū hai ma.aal

talḳhi-e-hasrat natīja shauq-e-ulfat-zād

hasrat-afzā hai bahut mere dil-e-vīrāñ jaal

kaun hai farmāñ-ravā is mulk-e-ġhair-ābād

lutf aatā rahā hai sa.ī-e-bātil meñ mujhe

hai yahāñ afsos kis ko mehnat-e-barbād

khīñch kar le chal mujhe shauq-e-asīrī sū-e-dām

kaam aisā kar ki jis se baḌhe sayyād

kis ko shikva hijr aur kis ko hasrat vasl

lutf-parvardā hai merā dil kisī yaad

ye adā-e-dil-rubāyāna ye andāz-e-hayā

kis tarah phir kaam kartī hai nazar jallād

'vahshat' us but ne taġhāful jab kiyā apnā shi'ār

kaam ḳhāmoshī se maiñ ne bhī liyā fariyād

main ne mana kaam hai nala dil-e-nashad ka

hai taghaful shewa aaKHir kis sitam-ijad ka

hae wo dil jo hadaf tha nawak-e-bedad ka

dard sahta hai wahi ab ghaflat-e-sayyaad ka

nargis-e-mastana mein kaifiyat-e-jam-e-sharab

qamat-e-rana pe aalam misra-e-ustad ka

mana-e-fariyaad hai kuchh taba ki afsurdagi

kuchh sukut-amoz hai pas-e-adab sayyaad ka

is qadar dilkash raha tera agar andaz-e-jaur

zaKHm-e-dil munh chum lega KHanjar-e-bedad ka

majlis-e-matam bani aane se un ke bazm-e-aish

paD gaya phulon mein mere ghul mubarakbaad ka

tu na kar tark-e-sitam zalim sitam ho jaega

jaan se jaega KHugar lazzat-e-bedad ka

dard-e-nakaam-e-hujum-e-arzu ka hai maal

talKHi-e-hasrat natija shauq-e-ulfat-zad ka

hasrat-afza hai bahut mere dil-e-viran ka jal

kaun hai farman-rawa is mulk-e-ghair-abaad ka

lutf hi aata raha hai sai-e-baatil mein mujhe

hai yahan afsos kis ko mehnat-e-barbaad ka

khinch kar le chal mujhe shauq-e-asiri su-e-dam

kaam aisa kar ki jis se ji baDhe sayyaad ka

kis ko shikwa hijr ka aur kis ko hasrat wasl ki

lutf-parwarda hai mera dil kisi ki yaad ka

ye ada-e-dil-rubayana ye andaz-e-haya

kis tarah phir kaam karti hai nazar jallad ka

'wahshat' us but ne taghaful jab kiya apna shi'ar

kaam KHamoshi se main ne bhi liya fariyaad ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now