main dil ki shahi mein KHush hun dil uski shahi mein
maiñ dil kī shāhī meñ ḳhush huuñ dil us kī shāhī meñ
so pāñchoñ ungliyāñ ghī meñ haiñ sar kaḌāhī meñ
ye jitnī tezī se ābād ho rahī hai zamīñ
ziyāda vaqt nahīñ rah gayā tabāhī meñ
vo chehra haT gayā khiḌkī se bijlī aate hī
'ilāqa Duub gayā ek dam siyāhī meñ
na hone vaale havādis kā Dar na ḳhauf-e-zarar
'ajīb fā.ede hote haiñ kam-nigāhī meñ
kisī kī hifz-o-amāñ ban rahī hai merā junūñ
use tabāh na kar duuñ maiñ ḳhair-ḳhvāhī meñ
vo mar chukā hai kisī par so laḌ nahīñ saktā
magar ye kahne kī himmat nahīñ sipāhī meñ
hamāre haq meñ faqat ek shaḳhs pesh huā
aur aa ke kuchh bhī nahīñ keh sakā gavāhī meñ
nizām-e-zāt salīqe se chal sakegā agar
dimāġh kaam kare dil kī sarbarāhī meñ
main dil ki shahi mein KHush hun dil us ki shahi mein
so panchon ungliyan ghi mein hain sar kaDahi mein
ye jitni tezi se aabaad ho rahi hai zamin
ziyaada waqt nahin rah gaya tabahi mein
wo chehra haT gaya khiDki se bijli aate hi
'ilaqa Dub gaya ek dam siyahi mein
na hone wale hawadis ka Dar na KHauf-e-zarar
'ajib faede hote hain kam-nigahi mein
kisi ki hifz-o-aman ban rahi hai mera junun
use tabah na kar dun main KHair-KHwahi mein
wo mar chuka hai kisi par so laD nahin sakta
magar ye kahne ki himmat nahin sipahi mein
hamare haq mein faqat ek shaKHs pesh hua
aur aa ke kuchh bhi nahin keh saka gawahi mein
nizam-e-zat saliqe se chal sakega agar
dimagh kaam kare dil ki sarbarahi mein
Aakhiri Tasveer
Buy This BookAdditional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.