Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bhi ai kash kabhi mauj-e-saba ho jaun

Naseer Turabi

main bhi ai kash kabhi mauj-e-saba ho jaun

Naseer Turabi

MORE BYNaseer Turabi

    maiñ bhī ai kaash kabhī mauj-e-sabā ho jā.ūñ

    is tavaqqo pe ki ḳhud se bhī judā ho jā.ūñ

    abr uTThe to simaT jā.ūñ tirī āñkhoñ meñ

    dhuup nikle to tire sar ridā ho jā.ūñ

    aaj raat ujāle mire ham-sāya haiñ

    aaj raat jo so luuñ to nayā ho jā.ūñ

    ab yahī soch liyā dil meñ ki manzil ke baġhair

    ghar palaT aa.uuñ to maiñ ābla-pā ho jā.ūñ

    phuul tarah mahaktā huuñ tirī yaad ke saath

    ye alag baat ki maiñ tujh se ḳhafā ho jā.ūñ

    jis ke kūche meñ baraste rahe patthar mujh par

    us ke hāthoñ ke liye rañg-e-hinā ho jā.ūñ

    aarzū ye hai ki taqdīs-e-hunar ḳhātir

    tere hoñToñ pe rahūñ hamd-o-sanā ho jā.ūñ

    marhala apnī parastish ho darpesh to maiñ

    apne sāmne mā.il-ba-duā ho jā.ūñ

    tīsha-e-vaqt batā.e ki ta.āruf ke liye

    kin pahāḌoñ bulandī pe khaḌā ho jā.ūñ

    haa.e vo log ki maiñ jin pujārī huuñ 'nasīr'

    haa.e vo log ki maiñ jin ḳhudā ho jā.ūñ

    main bhi ai kash kabhi mauj-e-saba ho jaun

    is tawaqqo pe ki KHud se bhi juda ho jaun

    abr uTThe to simaT jaun teri aankhon mein

    dhup nikle to tere sar ki rida ho jaun

    aaj ki raat ujale mere ham-saya hain

    aaj ki raat jo so lun to naya ho jaun

    ab yahi soch liya dil mein ki manzil ke baghair

    ghar palaT aaun to main aabla-pa ho jaun

    phul ki tarah mahakta hun teri yaad ke sath

    ye alag baat ki main tujh se KHafa ho jaun

    jis ke kuche mein baraste rahe patthar mujh par

    us ke hathon ke liye rang-e-hina ho jaun

    aarzu ye hai ki taqdis-e-hunar ki KHatir

    tere honTon pe rahun hamd-o-sana ho jaun

    marhala apni parastish ka ho darpesh to main

    apne hi samne mail-ba-dua ho jaun

    tisha-e-waqt batae ki taaruf ke liye

    kin pahaDon ki bulandi pe khaDa ho jaun

    hae wo log ki main jin ka pujari hun 'nasir'

    hae wo log ki main jin ka KHuda ho jaun

    Source :
    • Book : Range-e-Gazal (Pg. 352)
    • Author : shahzaad ahmad
    • Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
    • Edition : 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now