Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main aks-e-arzu tha hawa le gai mujhe

Zeb Ghauri

main aks-e-arzu tha hawa le gai mujhe

Zeb Ghauri

maiñ aks-e-ārzū thā havā le ga.ī mujhe

zindān-e-āb-o-gil se chhuḌā le ga.ī mujhe

kyā bach rahā thā jis tamāshā vo dekhtā

dāman meñ apne ḳhaak chhupā le ga.ī mujhe

kuchh duur tak to chamkī thī mere lahū dhaar

phir raat apne saath bahā le ga.ī mujhe

juz tīrgī na haath lagā us kuchh surāġh

kin manziloñ se gard-e-navā le ga.ī mujhe

kis ko gumān thā ki kahāñ rahā huuñ maiñ

ik shaam aa.ī aur bulā le ga.ī mujhe

parvāz havas ne asīr-e-falak rakhā

ruḳhsat huī to daam meñ Daale ga.ī mujhe

sākit khaḌā thā vaqt magar tesha-zan havā

patthar tah se 'zeb' nikāle ga.ī mujhe

main aks-e-arzu tha hawa le gai mujhe

zindan-e-ab-o-gil se chhuDa le gai mujhe

kya bach raha tha jis ka tamasha wo dekhta

daman mein apne KHak chhupa le gai mujhe

kuchh dur tak to chamki thi mere lahu ki dhaar

phir raat apne sath baha le gai mujhe

juz tirgi na hath laga us ka kuchh suragh

kin manzilon se gard-e-nawa le gai mujhe

kis ko guman tha ki kahan ja raha hun main

ek sham aai aur bula le gai mujhe

parwaz ki hawas ne asir-e-falak rakha

ruKHsat hui to dam mein Dale gai mujhe

sakit khaDa tha waqt magar tesha-zan hawa

patthar ki tah se 'zeb' nikale gai mujhe

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

main aks-e-arzu tha hawa le gai mujhe Nomaan Shauque

Nomaan Shauque

main aks-e-arzu tha hawa le gai mujhe Nomaan Shauque

Source :
  • Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 87)
  • Author :Zeb Ghauri
  • Publication : Rekhta Publications (2023)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now