Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-arzu!

Akhtar Shirani

main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-arzu!

Akhtar Shirani

maiñ ārzū-e-jāñ likhūñ jān-e-ārzū!

batā de naaz se īmān-e-ārzū!

aañsū nikal rahe haiñ tasavvur meñ ban ke phuul

shādāb ho rahā hai gulistān-e-ārzū!

īmān o jaañ nisār tirī ik nigāh par

jān-e-ārzū hai īmān-e-ārzū!

hone ko hai tulū sabāh-e-shab-e-visāl

bujhne ko hai charāġh-e-shabistān-e-ārzū!

ik vo ki ārzuoñ pe jiite haiñ umr bhar

ik ham ki haiñ abhī se pashīmān-e-ārzū!

āñkhoñ se jū-e-ḳhūñ hai ravāñ dil hai daaġh daaġh

dekhe koī bahār-e-gulistān-e-ārzū!

dil meñ nashāt-e-rafta dhundlī yaad hai

sham-e-vasl hai tah-e-dāmān-e-ārzū!

'aḳhtar' ko zindagī bharosa nahīñ rahā

jab se luTā chuke sar-o-sāmān-e-ārzū!

main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-arzu!

tu hi bata de naz se iman-e-arzu!

aansu nikal rahe hain tasawwur mein ban ke phul

shadab ho raha hai gulistan-e-arzu!

iman o jaan nisar teri ek nigah par

tu jaan-e-arzu hai tu iman-e-arzu!

hone ko hai tulu sabah-e-shab-e-visal

bujhne ko hai charagh-e-shabistan-e-arzu!

ek wo ki aarzuon pe jite hain umr bhar

ek hum ki hain abhi se pashiman-e-arzu!

aankhon se ju-e-KHun hai rawan dil hai dagh dagh

dekhe koi bahaar-e-gulistan-e-arzu!

dil mein nashat-e-rafta ki dhundli si yaad hai

ya sham-e-wasl hai tah-e-daman-e-arzu!

'aKHtar' ko zindagi ka bharosa nahin raha

jab se luTa chuke sar-o-saman-e-arzu!

RECITATIONS

Munawar Sultana

Munawar Sultana,

00:00/00:00
Munawar Sultana

main aarzu-e-jaan likhun ya jaan-e-arzu! Munawar Sultana

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now