raqs karta hun jam pita hun
raqs kartā huuñ jaam piitā huuñ
aam miltī hai aam piitā huuñ
jhuuT maiñ ne kabhī nahīñ bolā
zāhidān-e-kirām piitā huuñ
ruḳh hai pur-nūr to ta.ajjub kyā
bāda-e-lāla-fām piitā huuñ
itnī tezī bhī kyā pilāne meñ
ābgīne ko thaam piitā huuñ
kaam bhī ik namāz hai merī
ḳhatm karte hī kaam piitā huuñ
tere hāthoñ se kis ko miltī hai?
mere māh-e-tamām piitā huuñ
zindagī kā safar hī aisā hai
dam-ba-dam gaam gaam piitā huuñ
mujh ko mai se baḌī mohabbat hai
maiñ ba-sad-ehtirām piitā huuñ
mai mire hoñT chuum letī hai
le ke jab terā naam piitā huuñ
shaiḳh o muftī 'adam' jab aa jaa.eñ
ban ke un kā imaam piitā huuñ
raqs karta hun jam pita hun
aam milti hai aam pita hun
jhuT main ne kabhi nahin bola
zahidan-e-kiram pita hun
ruKH hai pur-nur to tajjub kya
baada-e-lala-fam pita hun
itni tezi bhi kya pilane mein
aabgine ko tham pita hun
kaam bhi ek namaz hai meri
KHatm karte hi kaam pita hun
tere hathon se kis ko milti hai?
mere mah-e-tamam pita hun
zindagi ka safar hi aisa hai
dam-ba-dam gam gam pita hun
mujh ko mai se baDi mohabbat hai
main ba-sad-ehtiram pita hun
mai mere honT chum leti hai
le ke jab tera nam pita hun
shaiKH o mufti 'adam' jab aa jaen
ban ke un ka imam pita hun
- Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 408)
- Author : Khwaja Mohammad Zakariya
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.