Khaali hai abhi jam main kuchh soch raha hun
ḳhālī hai abhī jaam maiñ kuchh soch rahā huuñ
ai gardish-e-ayyām maiñ kuchh soch rahā huuñ
saaqī tujhe ik thoḌī sī taklīf to hogī
sāġhar ko zarā thaam maiñ kuchh soch rahā huuñ
pahle baḌī raġhbat thī tire naam se mujh ko
ab sun ke tirā naam maiñ kuchh soch rahā huuñ
idrāk abhī puurā ta.āvun nahīñ kartā
dai bāda-e-gulfām maiñ kuchh soch rahā huuñ
hal kuchh to nikal aa.egā hālāt kī zid kā
ai kasrat-e-ālām maiñ kuchh soch rahā huuñ
phir aaj 'adam' shaam se ġhamgīñ hai tabī.at
phir aaj sar-e-shām maiñ kuchh soch rahā huuñ
KHali hai abhi jam main kuchh soch raha hun
ai gardish-e-ayyam main kuchh soch raha hun
saqi tujhe ek thoDi si taklif to hogi
saghar ko zara tham main kuchh soch raha hun
pahle baDi raghbat thi tere nam se mujh ko
ab sun ke tera nam main kuchh soch raha hun
idrak abhi pura taawun nahin karta
dai baada-e-gulfam main kuchh soch raha hun
hal kuchh to nikal aaega haalat ki zid ka
ai kasrat-e-alam main kuchh soch raha hun
phir aaj 'adam' sham se ghamgin hai tabiat
phir aaj sar-e-sham main kuchh soch raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.