Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal humne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi

Ahmad Faraz

kal humne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi

Ahmad Faraz

kal ham ne bazm-e-yār meñ kyā kyā sharāb

sahrā tishnagī thī so dariyā sharāb

apnoñ ne taj diyā hai to ġhairoñ meñ ke baiTh

ai ḳhānumāñ-ḳharāb na tanhā sharāb

ham-safar nahīñ hai to kyā sair-e-gulsitāñ

to ham-subū nahīñ hai to phir kyā sharāb

ai dil-girafta-e-ġham-e-jānāñ subū uThā

ai kushta-e-jafā-e-zamāna sharāb

ik mehrbāñ buzurg ne ye mashvara diyā

dukh koī 'ilāj nahīñ sharāb

bādal garaj rahā thā idhar mohtasib udhar

phir jab talak ye uqda na suljhā sharāb

ai ki tere dar pe haiñ rindoñ ke jamghaTe

ik roz us faqīr ke ghar aa sharāb

do jaam un ke naam bhī ai pīr-e-mai-kada

jin raftagāñ ke saath hamesha sharāb

kal ham se apnā yaar ḳhafā ho gayā 'farāz'

shāyad ki ham ne had se ziyāda sharāb

kal hum ne bazm-e-yar mein kya kya sharab pi

sahra ki tishnagi thi so dariya sharab pi

apnon ne taj diya hai to ghairon mein ja ke baiTh

ai KHanuman-KHarab na tanha sharab pi

tu ham-safar nahin hai to kya sair-e-gulsitan

to ham-subu nahin hai to phir kya sharab pi

ai dil-girafta-e-gham-e-jaanan subu uTha

ai kushta-e-jafa-e-zamana sharab pi

ek mehrban buzurg ne ye mashwara diya

dukh ka koi 'ilaj nahin ja sharab pi

baadal garaj raha tha idhar mohtasib udhar

phir jab talak ye uqda na suljha sharab pi

ai tu ki tere dar pe hain rindon ke jamghaTe

ek roz us faqir ke ghar aa sharab pi

do jam un ke nam bhi ai pir-e-mai-kada

jin raftagan ke sath hamesha sharab pi

kal hum se apna yar KHafa ho gaya 'faraaz'

shayad ki hum ne had se ziyaada sharab pi

Source :
  • Book :  kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 222)
  • Author : Ahmad faraz
  • Publication : Fareed book depot(pvt)ltd (2010)
  • Edition : 2010

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now