hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya
hañs hañs ke jaam jaam ko chhalkā ke pī gayā
vo ḳhud pilā rahe the maiñ lahrā ke pī gayā
tauba ke TūTne kā bhī kuchh kuchh malāl thā
tham tham ke soch soch ke sharmā ke pī gayā
sāġhar-ba-dast baiThī rahī merī aarzū
saaqī shafaq se jaam ko Takrā ke pī gayā
vo dushmanoñ ke tanz ko Thukrā ke pī ga.e
maiñ dostoñ ke ġhaiz ko bhaḌkā ke pī gayā
sad.hā mutālibāt ke ba.ad ek jām-e-talḳh
duniyā-e-jabr-o-sabr ko dhaḌkā ke pī gayā
sau baar laġhzishoñ kī qasam khā ke chhoḌ dī
sau baar chhoḌne kī qasam khā ke pī gayā
piitā kahāñ thā sub.h-e-azal maiñ bhalā 'adam'
saaqī ke e'tibār pe lahrā ke pī gayā
hans hans ke jam jam ko chhalka ke pi gaya
wo KHud pila rahe the main lahra ke pi gaya
tauba ke TuTne ka bhi kuchh kuchh malal tha
tham tham ke soch soch ke sharma ke pi gaya
saghar-ba-dast baiThi rahi meri aarzu
saqi shafaq se jam ko Takra ke pi gaya
wo dushmanon ke tanz ko Thukra ke pi gae
main doston ke ghaiz ko bhaDka ke pi gaya
sadha mutalibaat ke baad ek jam-e-talKH
duniya-e-jabr-o-sabr ko dhaDka ke pi gaya
sau bar laghzishon ki qasam kha ke chhoD di
sau bar chhoDne ki qasam kha ke pi gaya
pita kahan tha subh-e-azal main bhala 'adam'
saqi ke e'tibar pe lahra ke pi gaya
- Book : Kulliyat-e-Adm (Pg. 308)
- Author : Khwaja Mohammad Zakariya
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.