pani to kya jalan se main pyasa hawa ka tha
paanī to kyā jalan se maiñ pyāsā havā kā thā
ik aah bhī mire liye jhoñkā sabā kā thā
kuchh yuuñ kiran kiran meñ udāsī thī jis tarah
mahtāb bhī shabāb kisī be-navā kā thā
nargis sifat kisī ko na dikhlā sake magar
dāmān-e-dīd meñ koī manzar balā kā thā
the qarya qarya dil meñ ḳharābe base hue
jaise ye shahr bhī mire farmāñ-ravā kā thā
ab dast-o-pā ko 'ādat-e-zanjīr ho ga.ī
mushkil thā jis qadar bhī safar ibtidā kā thā
sadiyoñ se ham bhī sūrat-e-sahrā the tishna-kām
barsī vahīñ jidhar ko jhukāv ghaTā kā thā
jab maiñ chalā Dubo ke safīnā to mere yaar
us samt chal diye ki jidhar ruḳh havā kā thā
kaise kahūñ ki saarā zamāna saḳhī nahīñ
koī to jurm apne bhī dāmān-e-vā kā thā
thī dastaras na tere ḳham-e-zulf tak to kyā
ḳhush-bū kī tarh maiñ bhī musāfir havā kā thā
naġhme kī tarh mere laboñ par bikhar gayā
ḳhāmosh sā vo shaḳhs ki paikar hayā kā thā
yuuñ to tanāsub-e-lab-o-ruḳh bhī hai ḳhuub shai
ham jis pe mar miTe haiñ vo jaadū sadā kā thā
yuuñ to hazār shukr ki tū mil gayā magar
ye dukh ki dhyān tujh se bhī nāzuk-adā kā thā
qaaf
'sādiq' mizāj talḳh nasha tund rang tez
mānind-e-mai mu'āmla jins-e-vafā kā thā
firdaus kī fazā meñ bhī kam kam sukūñ milā
āñkheñ najaf kī jism mirā karbalā kā thā
pani to kya jalan se main pyasa hawa ka tha
ek aah bhi mere liye jhonka saba ka tha
kuchh yun kiran kiran mein udasi thi jis tarah
mahtab bhi shabab kisi be-nawa ka tha
nargis sifat kisi ko na dikhla sake magar
daman-e-did mein koi manzar bala ka tha
the qarya qarya dil mein KHarabe base hue
jaise ye shahr bhi mere farman-rawa ka tha
ab dast-o-pa ko 'adat-e-zanjir ho gai
mushkil tha jis qadar bhi safar ibtida ka tha
sadiyon se hum bhi surat-e-sahra the tishna-kaam
barsi wahin jidhar ko jhukaw ghaTa ka tha
jab main chala Dubo ke safina to mere yar
us samt chal diye ki jidhar ruKH hawa ka tha
kaise kahun ki sara zamana saKHi nahin
koi to jurm apne bhi daman-e-wa ka tha
thi dastaras na tere KHam-e-zulf tak to kya
KHush-bu ki tarh main bhi musafir hawa ka tha
naghme ki tarh mere labon par bikhar gaya
KHamosh sa wo shaKHs ki paikar haya ka tha
yun to tanasub-e-lab-o-ruKH bhi hai KHub shai
hum jis pe mar miTe hain wo jadu sada ka tha
yun to hazar shukr ki tu mil gaya magar
ye dukh ki dhyan tujh se bhi nazuk-ada ka tha
qaf
'sadiq' mizaj talKH nasha tund rang tez
manind-e-mai mu'amla jins-e-wafa ka tha
firdaus ki faza mein bhi kam kam sukun mila
aankhen najaf ki jism mera karbala ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.