mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
mahfil-ārā the magar phir kam-numā hote ga.e
dekhte hī dekhte ham kyā se kyā hote ga.e
nā-shanāsī dahr kī tanhā hameñ kartī ga.ī
hote hote ham zamāne se judā hote ga.e
muntazir jaise the dar shahr-e-firāq-āsār ke
ik zarā dastak huī dar dam meñ vā hote ga.e
harf pardā-posh the iz.hāre-e-dil ke baab meñ
harf jitne shahr meñ the harf-e-lā hote ga.e
vaqt kis tezī se guzrā roz-marra meñ 'munīr'
aaj kal hotā gayā aur din havā hote ga.e
mahfil-ara the magar phir kam-numa hote gae
dekhte hi dekhte hum kya se kya hote gae
na-shanasi dahr ki tanha hamein karti gai
hote hote hum zamane se juda hote gae
muntazir jaise the dar shahr-e-firaq-asar ke
ek zara dastak hui dar dam mein wa hote gae
harf parda-posh the izhaare-e-dil ke bab mein
harf jitne shahr mein the harf-e-la hote gae
waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir'
aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.