mana kisi zalim ki himayat nahin karte
maanā kisī zālim kī himāyat nahīñ karte
ham log magar khul ke baġhāvat nahīñ karte
karte haiñ musalsal mire īmān pe tanqīd
ḳhud apne aqīdoñ kī vazāhat nahīñ karte
kuchh vo bhī tabī.at kā sukhī aisā nahīñ hai
kuchh ham bhī mohabbat meñ qanā.at nahīñ karte
jo zaḳhm diye aap ne mahfūz haiñ ab tak
aadat hai amānat meñ ḳhayānat nahīñ karte
kyuuñ in ko milā mansab-e-afzā.ish-e-gītī
ye log to miTTī se mohabbat nahīñ karte
kuchh aisī baġhāvat hai tabī.at meñ hamārī
jis baat kī hotī hai ijāzat nahīñ karte
tanzīm kā ye haal hai is shahr meñ 'āsim'
be-sāḳhta bachche bhī sharārat nahīñ karte
mana kisi zalim ki himayat nahin karte
hum log magar khul ke baghawat nahin karte
karte hain musalsal mere iman pe tanqid
KHud apne aqidon ki wazahat nahin karte
kuchh wo bhi tabiat ka sukhi aisa nahin hai
kuchh hum bhi mohabbat mein qanaat nahin karte
jo zaKHm diye aap ne mahfuz hain ab tak
aadat hai amanat mein KHayanat nahin karte
kyun in ko mila mansab-e-afzaish-e-giti
ye log to miTTi se mohabbat nahin karte
kuchh aisi baghawat hai tabiat mein hamari
jis baat ki hoti hai ijazat nahin karte
tanzim ka ye haal hai is shahr mein 'asim'
be-saKHta bachche bhi shararat nahin karte
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 29)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.