main na hindu na musalman mujhe jine do
maiñ na hindū na musalmān mujhe jiine do
dostī hai mirā īmān mujhe jiine do
har qadam par haram-o-dair kī bāteñ kar ke
mat karo mujh ko pareshān mujhe jiine do
koī ehsāñ na karo mujh pe to ehsāñ hogā
sirf itnā karo ehsān mujhe jiine do
zindagī aur mirī kyā hai yahī zinda-dilī
aur yahī hai mirī pahchān mujhe jiine do
maut aa.egī to hañste hue mar jā.ūñgā
zindagī hai to mirī jaan mujhe jiine do
log hote haiñ jo hairān mire jiine se
log hote raheñ hairān mujhe jiine do
sab ke dukh dard ko bas apnā samajh kar jiinā
bas yahī hai mirā armān mujhe jiine do
ghol kar jaam meñ dukh dard zamāne bhar ke
zindagī karne do āsān mujhe jiine do
main na hindu na musalman mujhe jine do
dosti hai mera iman mujhe jine do
har qadam par haram-o-dair ki baaten kar ke
mat karo mujh ko pareshan mujhe jine do
koi ehsan na karo mujh pe to ehsan hoga
sirf itna karo ehsan mujhe jine do
zindagi aur meri kya hai yahi zinda-dili
aur yahi hai meri pahchan mujhe jine do
maut aaegi to hanste hue mar jaunga
zindagi hai to meri jaan mujhe jine do
log hote hain jo hairan mere jine se
log hote rahen hairan mujhe jine do
sab ke dukh dard ko bas apna samajh kar jina
bas yahi hai mera arman mujhe jine do
ghol kar jam mein dukh dard zamane bhar ke
zindagi karne do aasan mujhe jine do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.