aawargi main had se guzar jaana chahiye
āvārgī maiñ had se guzar jaanā chāhiye
lekin kabhī kabhār to ghar jaanā chāhiye
us but se 'ishq kījiye lekin kuchh is tarah
pūchhe koī to saaf mukar jaanā chāhiye
mujh se bichhaḌ ke in dinoñ kis rang meñ hai vo
ye dekhne raqīb ke ghar jaanā chāhiye
jis shaam shāhzādī faqīroñ ke ghar meñ aa.e
us shaam vaqt ko bhī Thahar jaanā chāhiye
rabb-e-visāl vasl kā mausam to aa chukā
ab to mirā nasīb sañvar jaanā chāhiye
sailāb-e-ġham kī nazr sabhī ḳhvāhisheñ huiiñ
ab dard kā ye dariyā utar jaanā chāhiye
jab Dūbnā hī Thahrā to phir sāhiloñ pe kyuuñ
is ke liye to biich bhañvar jaanā chāhiye
jin sā'atoñ meñ be-hunarī ho 'iyār-e-'aql
un sā'atoñ kā soch ke Dar jaanā chāhiye
shohrat sameT lī hai bahut 'keats' kī tarah
ab ham ko bhī javānī meñ mar jaanā chāhiye
baiThe rahoge dasht meñ kab tak 'hasan-razā’
paaoñ meñ jaag uThā hai safar jaanā chāhiye
aawargi main had se guzar jaana chahiye
lekin kabhi kabhaar to ghar jaana chahiye
us but se 'ishq kijiye lekin kuchh is tarah
puchhe koi to saf mukar jaana chahiye
mujh se bichhaD ke in dinon kis rang mein hai wo
ye dekhne raqib ke ghar jaana chahiye
jis sham shahzadi faqiron ke ghar mein aae
us sham waqt ko bhi Thahar jaana chahiye
rabb-e-visal wasl ka mausam to aa chuka
ab to mera nasib sanwar jaana chahiye
sailab-e-gham ki nazr sabhi KHwahishen huin
ab dard ka ye dariya utar jaana chahiye
jab Dubna hi Thahra to phir sahilon pe kyun
is ke liye to bich bhanwar jaana chahiye
jin sa'aton mein be-hunari ho 'iyar-e-'aql
un sa'aton ka soch ke Dar jaana chahiye
shohrat sameT li hai bahut 'keats' ki tarah
ab hum ko bhi jawani mein mar jaana chahiye
baiThe rahoge dasht mein kab tak 'hasan-raza’
paon mein jag uTha hai safar jaana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.