Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

laga jab aks-e-abru dekhne dildar pani mein

Shah Naseer

laga jab aks-e-abru dekhne dildar pani mein

Shah Naseer

lagā jab aks-e-abrū dekhne dildār paanī meñ

baham har mauj se chalne lagī talvār paanī meñ

nahānā mat ai rashk-e-parī zinhār paanī meñ

habāb aisā na ho shīsha bane ik baar paanī meñ

sunā ai bahr-e-ḳhūbī terī aThkhelī se chalne

uḌaa.ī rafta rafta mauj ne raftār paanī meñ

jhalak is tere kafash-e-pusht-e-māhī agar dekhe

kare qālib tahī maahī bhī phir lāchār paanī meñ

nahīñ laḳht-e-jigar ye chashm meñ phirte ki mardum ne

charāġh ab kar ke raushan chhoḌe haiñ do-chār paanī meñ

lab-e-dariyā pe dekh aa kar tamāshā aaj holī

bhañvar kaale ke daf baaje hai mauj ai yaar paanī meñ

kahūñ kyā saath ġhairoñ ke to us be-dīd ne hamdam

nahāne ke liye hargiz na takrār paanī meñ

kahā maiñ ne jo itnā rakh qadam is dīda-e-tar par

lagā kahne ki aatī hai mirī paizār paanī meñ

'nasīr' āsāñ nahīñ ye baat paanī saḳht mushkil hai

uThā.ī reḳhte ne kyā dīvār paanī meñ

laga jab aks-e-abru dekhne dildar pani mein

baham har mauj se chalne lagi talwar pani mein

nahana mat tu ai rashk-e-pari zinhaar pani mein

habab aisa na ho shisha bane ek bar pani mein

suna ai bahr-e-KHubi teri aThkheli se chalne ki

uDai rafta rafta mauj ne raftar pani mein

jhalak is tere kafash-e-pusht-e-mahi ki agar dekhe

kare qalib tahi mahi bhi phir lachaar pani mein

nahin laKHt-e-jigar ye chashm mein phirte ki mardum ne

charagh ab kar ke raushan chhoDe hain do-chaar pani mein

lab-e-dariya pe dekh aa kar tamasha aaj holi ka

bhanwar kale ke daf baje hai mauj ai yar pani mein

kahun kya sath ghairon ke to us be-did ne hamdam

nahane ke liye hargiz na ki takrar pani mein

kaha main ne jo itna rakh qadam is dida-e-tar par

laga kahne ki aati hai meri paizar pani mein

'nasir' aasan nahin ye baat pani saKHt mushkil hai

uThai reKHte ki tu ne kya diwar pani mein

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now