laga de soz-e-mohabbat phir aag sine mein
lagā de soz-e-mohabbat phir aag siine meñ
maza phir aane lage dil-jaloñ ko jiine meñ
ba-ḳhair guzreñ ye do din bahār ke yā-rab
ki rok Tok bahut ho rahī hai piine meñ
khaTak rahī hai koī shai nikāl de koī
taḌap rahā hai dil-e-be-qarār siine meñ
chamak rahī hai ye bijlī giregī tauba par
jhalak rahī hai mai-e-lāla-fām miine meñ
ye ḳhaas vaqtoñ ke kuchh nāla-hā-e-mauzūñ haiñ
hamāre sher 'mubārak' nahīñ safīne meñ
laga de soz-e-mohabbat phir aag sine mein
maza phir aane lage dil-jalon ko jine mein
ba-KHair guzren ye do din bahaar ke ya-rab
ki rok Tok bahut ho rahi hai pine mein
khaTak rahi hai koi shai nikal de koi
taDap raha hai dil-e-be-qarar sine mein
chamak rahi hai ye bijli giregi tauba par
jhalak rahi hai mai-e-lala-fam mine mein
ye KHas waqton ke kuchh nala-ha-e-mauzun hain
hamare sher 'mubarak' nahin safine mein
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.