ye kaun KHwab mein chhu kar chala gaya mere lab
ye kaun ḳhvāb meñ chhū kar chalā gayā mire lab
pukārtā huuñ to dete nahīñ sadā mire lab
ye aur baat kisī ke laboñ talak na ga.e
magar qarīb se guzre haiñ bār-hā mire lab
ab us kī shakl bhī mushkil se yaad aatī hai
vo jis ke naam se hote na the judā mire lab
ab ek umar se guft-o-shunīd bhī to nahīñ
haiñ be-nasīb mire kaan be-navā mire lab
ye shāḳhsāna-e-vahm-o-gumān thā shāyad
kujā vo samra-e-bāġh-e-talab kujā mire lab
ye kaun KHwab mein chhu kar chala gaya mere lab
pukarta hun to dete nahin sada mere lab
ye aur baat kisi ke labon talak na gae
magar qarib se guzre hain bar-ha mere lab
ab us ki shakl bhi mushkil se yaad aati hai
wo jis ke nam se hote na the juda mere lab
ab ek umar se guft-o-shunid bhi to nahin
hain be-nasib mere kan be-nawa mere lab
ye shaKHsana-e-wahm-o-guman tha shayad
kuja wo samra-e-bagh-e-talab kuja mere lab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.