kya kahega kabhi milne bhi agar aaega wo
kyā kahegā kabhī milne bhī agar aa.egā vo
ab vafādārī kī qasmeñ to nahīñ khā.egā vo
ham samajhte the ki ham us ko bhulā sakte haiñ
vo samajhtā thā hameñ bhuul nahīñ pā.egā vo
kitnā sochā thā par itnā to nahīñ sochā thā
yaad ban jā.egā vo ḳhvāb nazar aa.egā vo
sab ke hote hue ik roz vo tanhā hogā
phir vo DhūñDegā hameñ aur nahīñ pā.egā vo
ittifāqan jo kabhī sāmne aayā 'ajmal'
ab vo tanhā to na hogā jo Thahar jā.egā vo
kya kahega kabhi milne bhi agar aaega wo
ab wafadari ki qasmen to nahin khaega wo
hum samajhte the ki hum us ko bhula sakte hain
wo samajhta tha hamein bhul nahin paega wo
kitna socha tha par itna to nahin socha tha
yaad ban jaega wo KHwab nazar aaega wo
sab ke hote hue ek roz wo tanha hoga
phir wo DhunDega hamein aur nahin paega wo
ittifaqan jo kabhi samne aaya 'ajmal'
ab wo tanha to na hoga jo Thahar jaega wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.