Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein

Irfan Sattar

kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein

Irfan Sattar

kyā batā.ūñ ki jo hangāma bapā hai mujh meñ

in dinoñ koī bahut saḳht ḳhafā hai mujh meñ

us ḳhush-bū kahīñ atrāf meñ phailī huī hai

sub.h se raqs-kunāñ bād-e-sabā hai mujh meñ

terī sūrat meñ tujhe DhūñD rahā huuñ maiñ bhī

ġhāliban bhī mujhe DhūñD rahā hai mujh meñ

ek samt har ik ḳhvāb chalā jaatā hai

yaad hai koī naqsh-e-kaf-e-pā hai mujh meñ

merī be-rāh-ravī is liye sarshār hai

mere haq meñ koī masrūf-e-duā hai mujh meñ

apnī sāñsoñ kasāfat se gumāñ hotā hai

koī imkān abhī ḳhaak huā hai mujh meñ

ik chubhan hai ki jo bechain kiye rahtī hai

aisā lagtā hai ki kuchh TuuT gayā hai mujh meñ

to maiñ ḳhud rihā.ī ke liye huuñ be-tāb

giraftār koī mere sivā hai mujh meñ

ā.īna is gavāhī nahīñ detā to na de

vo ye kahtā hai koī ḳhaas adā hai mujh meñ

ho ga.ī dil se tirī yaad bhī ruḳhsat shāyad

āh-o-zārī abhī shor uThā hai mujh meñ

mujh meñ ābād haiñ ik saath adam aur vajūd

hast se bar-sar-e-paikār fanā hai mujh meñ

majlis-e-shām-e-ġharībāñ hai bapā chaar pahar

mustaqil bas abhī māhaul-e-azā hai mujh meñ

ho ga.ī shaq to bil-āḳhir ye anā dīvār

apnī jānib koī darvāza khulā hai mujh meñ

ḳhuuñ bahātā huā zanjīr-zanī kartā huā

koī pāgal hai jo behāl huā hai mujh meñ

us ḳhush-bū se mo'attar hai mirā saarā vajūd

tere chhūne se jo ik phuul khilā hai mujh meñ

mujh be-māya kahāñ aur kahāñ zom-e-kalām

ai mire rabb-e-suḳhan terī atā hai mujh meñ

tere jaane se yahāñ kuchh nahīñ badlā maslan

terā baḳhshā huā har zaḳhm harā hai mujh meñ

kaise mil jaatī hai āvāz-e-azāñ se har sub.h

raat bhar gūñjne vaalī jo sadā hai mujh meñ

kitnī sadiyoñ se use DhūñD rahe ho be-sūd

aao ab merī taraf aao ḳhudā hai mujh meñ

mujh meñ jannat bhī mirī aur jahannam bhī mirā

jārī-o-sārī jazā aur sazā hai mujh meñ

raushnī aise dhaḌakte to na dekhī thī kabhī

ye jo rah rah ke chamaktā hai ye kyā hai mujh meñ

kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein

in dinon koi bahut saKHt KHafa hai mujh mein

us ki KHush-bu kahin atraf mein phaili hui hai

subh se raqs-kunan baad-e-saba hai mujh mein

teri surat mein tujhe DhunD raha hun main bhi

ghaaliban tu bhi mujhe DhunD raha hai mujh mein

ek hi samt har ek KHwab chala jata hai

yaad hai ya koi naqsh-e-kaf-e-pa hai mujh mein

meri be-rah-rawi is liye sarshaar si hai

mere haq mein koi masruf-e-dua hai mujh mein

apni sanson ki kasafat se guman hota hai

koi imkan abhi KHak hua hai mujh mein

ek chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai

aisa lagta hai ki kuchh TuT gaya hai mujh mein

ya to main KHud hi rihai ke liye hun be-tab

ya giraftar koi mere siwa hai mujh mein

aaina is ki gawahi nahin deta to na de

wo ye kahta hai koi KHas ada hai mujh mein

ho gai dil se teri yaad bhi ruKHsat shayad

aah-o-zari ka abhi shor uTha hai mujh mein

mujh mein aabaad hain ek sath adam aur wajud

hast se bar-sar-e-paikar fana hai mujh mein

majlis-e-sham-e-ghariban hai bapa chaar pahar

mustaqil bas abhi mahaul-e-aza hai mujh mein

ho gai shaq to bil-aKHir ye ana ki diwar

apni jaanib koi darwaza khula hai mujh mein

KHun bahata hua zanjir-zani karta hua

koi pagal hai jo behaal hua hai mujh mein

us ki KHush-bu se mo'attar hai mera sara wajud

tere chhune se jo ek phul khila hai mujh mein

mujh sa be-maya kahan aur kahan zom-e-kalam

ai mere rabb-e-suKHan teri ata hai mujh mein

tere jaane se yahan kuchh nahin badla maslan

tera baKHsha hua har zaKHm hara hai mujh mein

kaise mil jati hai aawaz-e-azan se har subh

raat bhar gunjne wali jo sada hai mujh mein

kitni sadiyon se use DhunD rahe ho be-sud

aao ab meri taraf aao KHuda hai mujh mein

mujh mein jannat bhi meri aur jahannam bhi mera

jari-o-sari jaza aur saza hai mujh mein

raushni aise dhaDakte to na dekhi thi kabhi

ye jo rah rah ke chamakta hai ye kya hai mujh mein

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now