Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuTiya mein kaun aaega is tirgi ke sath

Kaif Bhopali

kuTiya mein kaun aaega is tirgi ke sath

Kaif Bhopali

MORE BYKaif Bhopali

    kuTiyā meñ kaun aa.egā is tīrgī ke saath

    ab ye kivāḌ band karo ḳhāmushī ke saath

    saaya hai kam khajūr ke ūñche daraḳht

    ummīd bāñdhiye na baḌe aadmī ke saath

    chalte haiñ bach ke shaiḳh-o-barahman ke saa.e se

    apnā yahī amal hai bure aadmī ke saath

    shā.istagān-e-shahr mujhe ḳhvāh kuchh kaheñ

    saḌkoñ husn hai mirī āvārgī ke saath

    shā.ir hikāyateñ na sunā vasl o ishq

    itnā baḌā mazāq na kar shā.irī ke saath

    likhtā hai ġham baat masarrat ke mood meñ

    maḳhsūs hai ye tarz faqat 'kaif' ke saath

    kuTiya mein kaun aaega is tirgi ke sath

    ab ye kiwaD band karo KHamushi ke sath

    saya hai kam khajur ke unche daraKHt ka

    ummid bandhiye na baDe aadmi ke sath

    chalte hain bach ke shaiKH-o-barahman ke sae se

    apna yahi amal hai bure aadmi ke sath

    shaistagan-e-shahr mujhe KHwah kuchh kahen

    saDkon ka husn hai meri aawargi ke sath

    shair hikayaten na suna wasl o ishq ki

    itna baDa mazaq na kar shairi ke sath

    likhta hai gham ki baat masarrat ke mood mein

    maKHsus hai ye tarz faqat 'kaif' hi ke sath

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now