Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kursi-e-dil pe tere jate hi dard aa baiThe

Farhat Ehsas

kursi-e-dil pe tere jate hi dard aa baiThe

Farhat Ehsas

kursī-e-dil pe tire jaate dard aa baiThe

jaise ā.īna-e-be-kār pe gard aa baiThe

pahlī manzil pe Takrā ke gire duniyā se

paañv tuḌvā ke tamām ahl-e-navard aa baiThe

dāvat-e-dīd jo us qāmat-e-rañgīñ milī

bazm meñ ham bhī liye ye ruḳh-e-zard aa baiThe

aurteñ kaam pe niklī thiiñ badan ghar rakh kar

jism ḳhālī jo nazar aa.e to mard aa baiThe

shahr ik samt se jañgal nazar aane lagā

shahr ke dil meñ bhī kyā dasht-navard aa baiThe

'farhat-ehsās' ta.azīm meñ uTThā thā samāj

aur vo us jagah sūrat-e-fard aa baiThe

kursi-e-dil pe tere jate hi dard aa baiThe

jaise aaina-e-be-kar pe gard aa baiThe

pahli manzil pe hi Takra ke gire duniya se

panw tuDwa ke tamam ahl-e-naward aa baiThe

dawat-e-did jo us qamat-e-rangin ki mili

bazm mein hum bhi liye ye ruKH-e-zard aa baiThe

aurten kaam pe nikli thin badan ghar rakh kar

jism KHali jo nazar aae to mard aa baiThe

shahr ek samt se jangal sa nazar aane laga

shahr ke dil mein bhi kya dasht-naward aa baiThe

'farhat-ehsas' ki tazim mein uTTha tha samaj

aur wo us ki jagah surat-e-fard aa baiThe

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now