Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh yaqin sa guman sa kuchh hai

Shahid Kamal

kuchh yaqin sa guman sa kuchh hai

Shahid Kamal

kuchh yaqīñ gumān kuchh hai

jo bhī hai merī jaan kuchh hai

fāsle ḳhatm ho ga.e lekin

phir bhī ik darmiyān kuchh hai

ham yahīñ par qayām karte haiñ

is khañDar meñ makān kuchh hai

haath meñ hai mahār-e-nāqa-e-ḳhāk

sar pe ik sā.ebān kuchh hai

dasht jaañ meñ vo ḳhaak uḌātā huā

ab bhī ik kārvān kuchh hai

khul ga.e us nusratoñ ke alam

vo havā meñ nishān kuchh hai

dekh neze is bulandī par

ye koī āsmān kuchh hai

ret par vo paḌī hai mushk koī

tiir bhī aur kamān kuchh hai

dekh andāz-e-be-zabānī-e-gul

apnā tarz-e-bayān kuchh hai

chal ke us galī meñ dekhte haiñ

shor āshuftagān kuchh hai

kuchh yaqin sa guman sa kuchh hai

jo bhi hai meri jaan sa kuchh hai

fasle KHatm ho gae lekin

phir bhi ek darmiyan sa kuchh hai

hum yahin par qayam karte hain

is khanDar mein makan sa kuchh hai

hath mein hai mahaar-e-naqa-e-KHak

sar pe ek saeban sa kuchh hai

dasht jaan mein wo KHak uData hua

ab bhi ek karwan sa kuchh hai

khul gae us ki nusraton ke alam

wo hawa mein nishan sa kuchh hai

dekh neze ki is bulandi par

ye koi aasman sa kuchh hai

ret par wo paDi hai mushk koi

tir bhi aur kaman sa kuchh hai

dekh andaz-e-be-zabani-e-gul

apna tarz-e-bayan sa kuchh hai

chal ke us ki gali mein dekhte hain

shor aashuftagan sa kuchh hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now