Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh to is dil ko saza di jae

Mohammad Alvi

kuchh to is dil ko saza di jae

Mohammad Alvi

kuchh to is dil ko sazā jaa.e

us tasvīr haTā jaa.e

DhūñDne meñ bhī maza aatā hai

koī shai rakh ke bhulā jaa.e

naam likh likh ke tirā kāġhaz par

raushnā.ī bhī girā jaa.e

naav kāġhaz banā kar us ko

bahte paanī meñ bahā jaa.e

raat ko chupke se ik ik ghar

kyuuñ na zanjīr lagā jaa.e

niiñd meñ chauñk paḌegā koī

aao us dar pe sadā jaa.e

āḳhirī saañs mahak jā.egī

us ke dāman havā jaa.e

sab ke sab yaad chale aate haiñ

aaj kis kis ko duā jaa.e

'alvī' hotel meñ Thahar saktā hai

kyuuñ use ghar meñ jagah jaa.e

kuchh to is dil ko saza di jae

us ki taswir haTa di jae

DhunDne mein bhi maza aata hai

koi shai rakh ke bhula di jae

nam likh likh ke tera kaghaz par

raushnai bhi gira di jae

naw kaghaz ki bana kar us ko

bahte pani mein baha di jae

raat ko chupke se ek ek ghar ki

kyun na zanjir laga di jae

nind mein chaunk paDega koi

aao us dar pe sada di jae

aaKHiri sans mahak jaegi

us ke daman ki hawa di jae

sab ke sab yaad chale aate hain

aaj kis kis ko dua di jae

'alwi' hotel mein Thahar sakta hai

kyun use ghar mein jagah di jae

Source :
  • Book : Rat Idhar Udhar Roashan (Pg. 368)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now