Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi sawal na kar aur koi jawab na puchh

Khushbir Singh Shaad

koi sawal na kar aur koi jawab na puchh

Khushbir Singh Shaad

koī savāl na kar aur koī javāb na pūchh

mujh se ahd-e-guzashta ab hisāb na pūchh

safīne kitne hue is meñ ġharq-e-āb na pūchh

mere dil ke samundar iztirāb na pūchh

maiñ kab se niiñd maarā huā huuñ aur kab se

ye merī jāgtī āñkheñ haiñ mahv-e-ḳhvāb na pūchh

safar meñ dhuup shiddat ne bhī satāyā magar

fareb dete rahe kis qadar sarāb na pūchh

kabhī uruuj pe thā ḳhud pe e'timād mirā

ġhurūb kaise huā hai ye āftāb na pūchh

koi sawal na kar aur koi jawab na puchh

tu mujh se ahd-e-guzashta ka ab hisab na puchh

safine kitne hue is mein gharq-e-ab na puchh

tu mere dil ke samundar ka iztirab na puchh

main kab se nind ka mara hua hun aur kab se

ye meri jagti aankhen hain mahw-e-KHwab na puchh

safar mein dhup ki shiddat ne bhi sataya magar

fareb dete rahe kis qadar sarab na puchh

kabhi uruj pe tha KHud pe e'timad mera

ghurub kaise hua hai ye aaftab na puchh

Source :
  • Book : Zara ye Dhoop Dhal Jaye (Pg. 43)
  • Author : Khushbir Singh Shaad
  • Publication : Suman Parkashan, Bhadoriya Complex, Lucknow (2005)
  • Edition : 2005
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now