Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi na chahne wala tha husn-e-ruswa ka

Waheed Quraishi

koi na chahne wala tha husn-e-ruswa ka

Waheed Quraishi

koī na chāhne vaalā thā husn-e-rusvā

dayār-e-ġham meñ rahā dil ko paas duniyā

fareb-e-sub.h-e-bahārāñ bhī hai qubūl hameñ

koī naqīb to aayā payām-e-fardā

ham aaj rāh-e-tamannā meñ ko haar aa.e

na dard-o-ġham bharosā rahā na duniyā

tirī vafā ne diyā dars-e-āgahī ham ko

tire junūñ ne kiyā kaam chashm-e-bīnā

ulajh ke rah ga.ī har taan se navā-e-sarosh

tilism TuuT gayā husn-e-naġhma-pairā

shab-e-firāq meñ taare gine to niiñd aa.ī

ye haal ho gayā āḳhir tumhāre shaidā

'vahīd' garmī-e-andesha ne ġhazab Dhāyā

sulag rahā hai abhī haath ḳhāma-farsā

koi na chahne wala tha husn-e-ruswa ka

dayar-e-gham mein raha dil ko pas duniya ka

fareb-e-subh-e-bahaaran bhi hai qubul hamein

koi naqib to aaya payam-e-farda ka

hum aaj rah-e-tamanna mein ji ko haar aae

na dard-o-gham ka bharosa raha na duniya ka

teri wafa ne diya dars-e-agahi hum ko

tere junun ne kiya kaam chashm-e-bina ka

ulajh ke rah gai har tan se nawa-e-sarosh

tilism TuT gaya husn-e-naghma-paira ka

shab-e-firaq mein tare gine to nind aai

ye haal ho gaya aaKHir tumhaare shaida ka

'wahid' garmi-e-andesha ne ghazab Dhaya

sulag raha hai abhi hath KHama-farsa ka

Source :
  • Book : NUQOOSH (Yearly) (Pg. 189)
  • Author : Mohd. Fufail
  • Publication : Idarah-e-Farogh-e-urdu, Lahore (Jan. Feb. 1957,Issue 61,62)
  • Edition : Jan. Feb. 1957,Issue 61,62
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now