Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi dil-lagi dil lagana nahin hai

Dattatriya Kaifi

koi dil-lagi dil lagana nahin hai

Dattatriya Kaifi

koī dil-lagī dil lagānā nahīñ hai

qayāmat hai ye dil aanā nahīñ hai

manā.eñ unheñ vasl meñ kis tarah ham

ye rūThe koī manānā nahīñ hai

hai manzūr unheñ imtihāñ shauq-e-dil

nazākat ḳhālī bahāna nahīñ hai

vafā par daġhā sulh meñ dushmanī hai

bhalā.ī hargiz zamāna nahīñ hai

shab-e-ġham bhī ho jā.egī ik din āḳhir

kabhī ik ravish par zamānā nahīñ hai

hai kū-e-butāñ bas ghar us 'kaifī'

zamāne meñ jis ko Thikānā nahīñ hai

koi dil-lagi dil lagana nahin hai

qayamat hai ye dil ka aana nahin hai

manaen unhen wasl mein kis tarah hum

ye ruThe ka koi manana nahin hai

hai manzur unhen imtihan shauq-e-dil ka

nazakat ka KHali bahana nahin hai

wafa par dagha sulh mein dushmani hai

bhalai ka hargiz zamana nahin hai

shab-e-gham bhi ho jaegi ek din aaKHir

kabhi ek rawish par zamana nahin hai

hai ku-e-butan bas ghar us ka hi 'kaifi'

zamane mein jis ko Thikana nahin hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now