Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kohsar-e-taghaful ko sada kaT rahi hai

Jamuna Parsad Rahi

kohsar-e-taghaful ko sada kaT rahi hai

Jamuna Parsad Rahi

MORE BYJamuna Parsad Rahi

    kohsār-e-taġhāful ko sadā kaaT rahī hai

    hairāñ huuñ ki patthar ko havā kaaT rahī hai

    peshāni-e-sāhil pe koī naam na ubhre

    har mauj samundar likhā kaaT rahī hai

    alfāz dhartī pe huuñ mafhūm-gazīda

    ab jism pe kāġhaz qabā kaaT rahī hai

    har ruuh pas-e-parda-e-tartīb-e-anāsir

    nā-karda gunāhoñ sazā kaaT rahī hai

    fankār ḳhuuñ dāman-e-taḳhlīq pe goyā

    tasvīr musavvir galā kaaT rahī hai

    mahjūb haiñ maġhrūr daraḳhtoñ qatāreñ

    har shāḳh ko shamshīr-e-anā kaaT rahī hai

    kohsar-e-taghaful ko sada kaT rahi hai

    hairan hun ki patthar ko hawa kaT rahi hai

    peshani-e-sahil pe koi nam na ubhre

    har mauj samundar ka likha kaT rahi hai

    alfaz ki dharti pe hun mafhum-gazida

    ab jism pe kaghaz ki qaba kaT rahi hai

    har ruh pas-e-parda-e-tartib-e-anasir

    na-karda gunahon ki saza kaT rahi hai

    fankar ka KHun daman-e-taKHliq pe goya

    taswir musawwir ka gala kaT rahi hai

    mahjub hain maghrur daraKHton ki qataren

    har shaKH ko shamshir-e-ana kaT rahi hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kohsar-e-taghaful ko sada kaT rahi hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now