Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh apne kaam nahin aawe jam-e-jam ki kitab

Qasim Ali Khan Afridi

kuchh apne kaam nahin aawe jam-e-jam ki kitab

Qasim Ali Khan Afridi

kuchh apne kaam nahīñ aave jām-e-jam kitāb

kifāyat apne ko bas ek apne ġham kitāb

nahīñ ḳhayāl sivā us ke aur hai dil meñ

jo maktab ishq meñ jaise paḌhā sanam kitāb

ḳhat aane se nahīñ ḳhātir jamā hue mutlaq

ise to ḳhat kahūñ sabza sitam kitāb

shab-e-firāq se terī gayā huuñ sab kuchh bhuul

viqāya kanz-o-hidāya sabhī ilam kitāb

huā ba-madrasa-e-ishq jab se tālib-e-ilm

bahut hai apne mutāla ko ek dam kitāb

na barhaman huuñ na mullā na maulvī na atiit

jo pothī dair pān.cho o haram kitāb

kitāb-e-husn 'qāsim-alī' mutāla kar

banā.ī sān.e.a ne san.at se yak-qalam kitāb

kuchh apne kaam nahin aawe jam-e-jam ki kitab

kifayat apne ko bas ek apne gham ki kitab

nahin KHayal siwa us ke aur hai dil mein

jo maktab ishq mein jaise paDha sanam ki kitab

KHat aane se nahin KHatir jama hue mutlaq

ise to KHat kahun ya sabza ya sitam ki kitab

shab-e-firaq se teri gaya hun sab kuchh bhul

wiqaya kanz-o-hidaya sabhi ilam ki kitab

hua ba-madrasa-e-ishq jab se talib-e-ilm

bahut hai apne mutala ko ek dam ki kitab

na barhaman hun na mulla na maulwi na atit

jo pothi dair ki pancho o ya haram ki kitab

kitab-e-husn ki 'qasim-ali' mutala kar

banai sanea ne sanat se yak-qalam ki kitab

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now