Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke zaKHm par ashkon ka phaha rakh diya jae

Raza Mauranvi

kisi ke zaKHm par ashkon ka phaha rakh diya jae

Raza Mauranvi

kisī ke zaḳhm par ashkoñ phāhā rakh diyā jaa.e

chalo sūraj ke sar par thoḌā saaya rakh diyā jaa.e

mire mālik sar-e-shāḳh-e-shajar ik phuul mānind

mirī be-dāġh peshānī pe sajda rakh diyā jaa.e

gunahgāroñ ne sochā hai musalsal nekiyāñ kar ke

shab-e-zulmat ke siine par ujālā rakh diyā jaa.e

tan-e-be-sar huuñ mere saa.e meñ ab kaun baiThegā

daraḳhtoñ meñ mire hisse saaya rakh diyā jaa.e

bulāte haiñ hameñ mehnat-kashoñ ke haath ke chhāle

chalo muhtāj ke muñh meñ nivāla rakh diyā jaa.e

duā.eñ māñgte haiñ vo hamāre rizq ḳhātir

faqīroñ ke liye thoḌā aaTā rakh diyā jaa.e

mujhe chalne nahīñ deñge ye mere paañv ke chhāle

mire talvoñ ke nīche koī kāñTā rakh diyā jaa.e

rivājoñ vo kasrat hai ki dam ghuTne lagā apnā

uThā kar ab 'razā' pārīna qissa rakh diyā jaa.e

kisi ke zaKHm par ashkon ka phaha rakh diya jae

chalo suraj ke sar par thoDa saya rakh diya jae

mere malik sar-e-shaKH-e-shajar ek phul ki manind

meri be-dagh peshani pe sajda rakh diya jae

gunahgaron ne socha hai musalsal nekiyan kar ke

shab-e-zulmat ke sine par ujala rakh diya jae

tan-e-be-sar hun mere sae mein ab kaun baiThega

daraKHton mein mere hisse ka saya rakh diya jae

bulate hain hamein mehnat-kashon ke hath ke chhaale

chalo muhtaj ke munh mein niwala rakh diya jae

duaen mangte hain wo hamare rizq ki KHatir

faqiron ke liye thoDa sa aaTa rakh diya jae

mujhe chalne nahin denge ye mere panw ke chhaale

mere talwon ke niche koi kanTa rakh diya jae

riwajon ki wo kasrat hai ki dam ghuTne laga apna

uTha kar ab 'raza' parina qissa rakh diya jae

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now