Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila

Fani Badayuni

kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila

Fani Badayuni

kisī ke ek ishāre meñ kis ko kyā na milā

bashar ko ziist milī maut ko bahāna milā

mazāq-e-talḳh-pasandī na pūchh is dil

baġhair marg jise ziist mazā na milā

dabī zabāñ se mirā haal chārasāz na kah

bas ab zahr de zahr meñ davā na milā

ḳhudā den nahīñ zarf-e-ḳhalq par mauqūf

ye dil bhī kyā hai jise dard ḳhazāna milā

duā gadā-e-asar hai gadā pe takiya na kar

ki e'timād-e-asar kyā milā milā na milā

zuhūr-e-jalva ko hai ek zindagī darkār

koī ajal tarah der-āshnā na milā

talāsh-e-ḳhizr meñ huuñ rū-shanās-e-ḳhizr nahīñ

mujhe ye dil se gila hai ki rahnumā na milā

nishān-e-mehr hai har zarra zarf-e-mehr nahīñ

ḳhudā kahāñ na milā aur kahīñ ḳhudā na milā

mirī hayāt hai mahrūm-e-muddā-e-hayāt

vo rahguzar huuñ jise koī naqsh-e-pā na milā

vo nā-murād-e-ajal bazm-e-yās meñ bhī nahīñ

yahāñ bhī 'fānī'-e-āvāra patā na milā

kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila

bashar ko zist mili maut ko bahana mila

mazaq-e-talKH-pasandi na puchh is dil ka

baghair marg jise zist ka maza na mila

dabi zaban se mera haal chaarasaz na kah

bas ab tu zahr hi de zahr mein dawa na mila

KHuda ki den nahin zarf-e-KHalq par mauquf

ye dil bhi kya hai jise dard ka KHazana mila

dua gada-e-asar hai gada pe takiya na kar

ki e'timad-e-asar kya mila mila na mila

zuhur-e-jalwa ko hai ek zindagi darkar

koi ajal ki tarah der-ashna na mila

talash-e-KHizr mein hun ru-shanas-e-KHizr nahin

mujhe ye dil se gila hai ki rahnuma na mila

nishan-e-mehr hai har zarra zarf-e-mehr nahin

KHuda kahan na mila aur kahin KHuda na mila

meri hayat hai mahrum-e-mudda-e-hayat

wo rahguzar hun jise koi naqsh-e-pa na mila

wo na-murad-e-ajal bazm-e-yas mein bhi nahin

yahan bhi 'fani'-e-awara ka pata na mila

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now