Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ne di aawaz sipar ki oT mein tha

Ghulam Husain Sajid

kis ne di aawaz sipar ki oT mein tha

Ghulam Husain Sajid

kis ne āvāz ''sipar oT meñ thā''

merā sar to us ke sar oT meñ thā

maiñ ne saat parinde uḌte dekhe the

ek parinda aur shajar oT meñ thā

maidānoñ shahroñ meñ log salāmat haiñ

marne vaalā apne ghar oT meñ thā

yuuñ jaagī hai aag sabhī dālānoñ meñ

jaise koī haath sharar oT meñ thā

kyuuñ āñhkeñ ummīdoñ mehmān rahīñ

shāyad koī ḳhvāb safar oT meñ thā

aaj khulā dushman ke pīchhe dushman the

aur vo lashkar is lashkar oT meñ thā

'sājid' aaj hunar hai us ke saa.e meñ

lekin kal fankār hunar oT meñ thā

kis ne di aawaz sipar ki oT mein tha

mera sar to us ke sar ki oT mein tha

main ne sat parinde uDte dekhe the

ek parinda aur shajar ki oT mein tha

maidanon shahron mein log salamat hain

marne wala apne ghar ki oT mein tha

yun jagi hai aag sabhi dalanon mein

jaise koi hath sharar ki oT mein tha

kyun aanhken ummidon ki mehman rahin

shayad koi KHwab safar ki oT mein tha

aaj khula dushman ke pichhe dushman the

aur wo lashkar is lashkar ki oT mein tha

'sajid' aaj hunar hai us ke sae mein

lekin kal fankar hunar ki oT mein tha

Source :
  • Book : meyaar (Pg. 383)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now