kis ki aawaz kan mein aai
kis kī āvāz kaan meñ aa.ī
duur kī baat dhyān meñ aa.ī
aisī āzād ruuh is tan meñ
kyoñ purāne makān meñ aa.ī
aap aate rahe bulāte rahe
aane vaalī ik aan meñ aa.ī
haa.e kyā kyā nigāh bhaTkī hai
jab kabhī imtihān meñ aa.ī
ye kināra chalā ki naav chalī
kahiye kyā baat dhyān meñ aa.ī
ilm kyā ilm kī haqīqat kyā
jaisī jis ke gumān meñ aa.ī
kaun jaane nidā-e-haq kyā hai
kis ḳhudā kī zabān meñ aa.ī
aisī paa.e ḳhatā ki uf na kare
Dhiil jis kī zabān meñ aa.ī
husn kyā ḳhvāb se huā bedār
jaan taaza jahān meñ aa.ī
aap kī ye akaḌ are tauba
kab kisī naujavān meñ aa.ī
jān-levā hai ye chaḌhī tevrī
ye kashish kis kamān meñ aa.ī
baat adhūrī magar asar donā
achchhī luknat zabān meñ aa.ī
aañkh nīchī huī are ye kyā
kyoñ ġharaz darmiyān meñ aa.ī
maiñ payambar nahīñ 'yagānā' sahī
is se kyā kasr shaan meñ aa.ī
kis ki aawaz kan mein aai
dur ki baat dhyan mein aai
aisi aazad ruh is tan mein
kyon purane makan mein aai
aap aate rahe bulate rahe
aane wali ek aan mein aai
hae kya kya nigah bhaTki hai
jab kabhi imtihan mein aai
ye kinara chala ki naw chali
kahiye kya baat dhyan mein aai
ilm kya ilm ki haqiqat kya
jaisi jis ke guman mein aai
kaun jaane nida-e-haq kya hai
kis KHuda ki zaban mein aai
aisi pae KHata ki uf na kare
Dhil jis ki zaban mein aai
husn kya KHwab se hua bedar
jaan taza jahan mein aai
aap ki ye akaD are tauba
kab kisi naujawan mein aai
jaan-lewa hai ye chaDhi tewri
ye kashish kis kaman mein aai
baat adhuri magar asar dona
achchhi luknat zaban mein aai
aankh nichi hui are ye kya
kyon gharaz darmiyan mein aai
main payambar nahin 'yagana' sahi
is se kya kasr shan mein aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.