umr bhar ko bas yahi ek imtihan baqi raha
'umr bhar ko bas yahī ik imtihāñ baaqī rahā
ik 'ajab rishta hamāre darmiyāñ baaqī rahā
vo 'imārat jo bahut ūñchī thī ik din Dhah ga.ī
kuchh nahīñ baaqī rahā bas ḳhāk-dāñ baaqī rahā
manzileñ gum haiñ kahīñ aur ham-safar bhī kho gaye
rāstoñ ko kosnā bhī ab kahāñ baaqī rahā
kuchh sunahre ḳhvāb aa kar pūchhte haiñ ye savāl
kis tarah se kuchh umīdoñ ko makāñ baaqī rahā
be-ruḳhī tum se abhī āsān hai mujh ko bahut
ab na koī bhī vafā kā āshiyāñ baaqī rahā
'umr bhar ko bas yahi ek imtihan baqi raha
ek 'ajab rishta hamare darmiyan baqi raha
wo 'imarat jo bahut unchi thi ek din Dhah gai
kuchh nahin baqi raha bas KHak-dan baqi raha
manzilen gum hain kahin aur ham-safar bhi kho gaye
raston ko kosna bhi ab kahan baqi raha
kuchh sunahre KHwab aa kar puchhte hain ye sawal
kis tarah se kuchh umidon ko makan baqi raha
be-ruKHi tum se abhi aasan hai mujh ko bahut
ab na koi bhi wafa ka aashiyan baqi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.