sayyaron ki taqdir yahin jag rahi hai
sayyāroñ kī taqdīr yahīñ jaag rahī hai
sote haiñ na aflāk zamīñ jaag rahī hai
taare bhī haiñ bedār zamīñ jaag rahī hai
pichhle ko bhī vo aañkh kahīñ jaag rahī hai
ik 'ālam-e-nairang hai duniyā-e-mohabbat
sotī hai kahīñ aur kahīñ jaag rahī hai
haiñ ḳhvāb meñ 'ushshāq magar yaad kisī kī
yā dil hī meñ yā dil ke qarīñ jaag rahī hai
karvaT se shab-e-māh meñ bahtī hai ye gangā
yā husn kī bal khaa.ī jabīñ jaag rahī hai
iqrār kī ThanDak meñ hai inkār kī garmī
saa.e meñ tirī haañ ke nahīñ jaag rahī hai
aahoñ se kaho raat kā dil chīrtī jaa.eñ
tāsīr sar-e-'arsh-e-barīñ jaag rahī hai
shab-ḳhūñ na mah-e-nau se ho 'ushshāq meñ ai charḳh
ye raat liye ḳhanjar-e-kīñ jaag rahī hai
sotī hai jahāñ 'ishq kī taqdīr azal se
vo nargis-e-bīmār vahīñ jaag rahī hai
ye raat añdherī hai magar ai ġham-e-fardā
sīnoñ meñ abhī sham'-e-yaqīñ jaag rahī hai
chheḌeñ to tirī sādgi-e-husn ko sau baar
lekin nigah-e-shoḳh-tarīñ jaag rahī hai
kuchh raat rahe aaj tire ḳhvāb kā 'ālam
yā sar-ba-sar ik sub.h-e-hasīñ jaag rahī hai
ye nikhrī huī raat 'firāq' aañkh to kholo
sotā huā sansār zamīñ jaag rahī hai
sayyaron ki taqdir yahin jag rahi hai
sote hain na aflak zamin jag rahi hai
tare bhi hain bedar zamin jag rahi hai
pichhle ko bhi wo aankh kahin jag rahi hai
ek 'alam-e-nairang hai duniya-e-mohabbat
soti hai kahin aur kahin jag rahi hai
hain KHwab mein 'ushshaq magar yaad kisi ki
ya dil hi mein ya dil ke qarin jag rahi hai
karwaT se shab-e-mah mein bahti hai ye ganga
ya husn ki bal khai jabin jag rahi hai
iqrar ki ThanDak mein hai inkar ki garmi
sae mein teri han ke nahin jag rahi hai
aahon se kaho raat ka dil chirti jaen
tasir sar-e-'arsh-e-barin jag rahi hai
shab-KHun na mah-e-nau se ho 'ushshaq mein ai charKH
ye raat liye KHanjar-e-kin jag rahi hai
soti hai jahan 'ishq ki taqdir azal se
wo nargis-e-bimar wahin jag rahi hai
ye raat andheri hai magar ai gham-e-farda
sinon mein abhi sham'-e-yaqin jag rahi hai
chheDen to teri sadgi-e-husn ko sau bar
lekin nigah-e-shoKH-tarin jag rahi hai
kuchh raat rahe aaj tere KHwab ka 'alam
ya sar-ba-sar ek subh-e-hasin jag rahi hai
ye nikhri hui raat 'firaq' aankh to kholo
sota hua sansar zamin jag rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.