Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab ko din ki shikaston ka mudawa na samajh

Saqi Faruqi

KHwab ko din ki shikaston ka mudawa na samajh

Saqi Faruqi

ḳhvāb ko din shikastoñ mudāvā na samajh

niiñd par takiya na kar shab ko masīhā na samajh

hijr ke shahr meñ gulzār kahāñ milte haiñ

sub.h ko dasht samajh shaam ko vīrāna samajh

maiñ kahīñ aur TuuTā huā taarā huuñ koī

mujhe apne sitāroñ se ulajhtā na samajh

mujh pe khul ki mire dil meñ koī pech paḌe

apnī tanhā.ī ke asrār-e-zuleḳhāna samajh

rāsta de ki mohabbat meñ badan shāmil hai

maiñ faqat ruuh nahīñ huuñ mujhe halkā na samajh

KHwab ko din ki shikaston ka mudawa na samajh

nind par takiya na kar shab ko masiha na samajh

hijr ke shahr mein gulzar kahan milte hain

subh ko dasht samajh sham ko virana samajh

main kahin aur ka TuTa hua tara hun koi

tu mujhe apne sitaron se ulajhta na samajh

mujh pe khul ja ki mere dil mein koi pech paDe

apni tanhai ke asrar-e-zuleKHana samajh

rasta de ki mohabbat mein badan shamil hai

main faqat ruh nahin hun mujhe halka na samajh

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

KHwab ko din ki shikaston ka mudawa na samajh Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now